ye azāboñ kā shahr hai
yahāñ ḳhud ko bachāne ke tamām harbe
bekār sābit hote haiñ
jab tum so rahe hoge
koī tumhārī Tāñgeñ churā le jā.egā
aur jab tum apne paḌosī se
Tāñgeñ udhār le kar
police thāne
report likhvāne ke liye pahuñchoge
to thānedār rishvat meñ
tumhārī āñkhoñ kā mutāliba karegā
jin ke dene se inkār karne par
tum dhar liye jāoge
dimāġh kī smuggling ke jurm meñ
vakīl ko apne baazū
aur magistrate ko naak aur kaan diye baġhair
tumhārī rihā.ī mumkin nahīñ
adālat se
bā-izzat rihā hone ke ba.ad
apne kho.e hue tamām a.azā
hāsil karne ke liye tumheñ
sirf apnā zamīr chukānā paḌegā
ye azabon ka shahr hai
yahan KHud ko bachane ke tamam harbe
bekar sabit hote hain
jab tum so rahe hoge
koi tumhaari Tangen chura le jaega
aur jab tum apne paDosi se
Tangen udhaar le kar
police thane
report likhwane ke liye pahunchoge
to thanedar rishwat mein
tumhaari aankhon ka mutaliba karega
jin ke dene se inkar karne par
tum dhar liye jaoge
dimagh ki smuggling ke jurm mein
wakil ko apne bazu
aur magistrate ko nak aur kan diye baghair
tumhaari rihai mumkin nahin
adalat se
ba-izzat riha hone ke baad
apne khoe hue tamam aaza
hasil karne ke liye tumhein
sirf apna zamir chukana paDega
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.