azal-ta-abad
ufuq-tā-ufuq ye dhundalke kā aalam
ye had-e-nazar tak
nam-ālūd sī ret kā narm qālīñ ki jis par
samundar kī chanchal javāñ beTiyoñ ne
kisī naqsh-e-pā ko bhī na chhoḌā
fazā apne dāman meñ bojhal ḳhamoshī sameTe hai lekin
machaltī huī mast lahroñ ke hoñToñ pe naġhma hai raqsāñ
ye naġhma sunā thā mujhe yaad aatā nahīñ kab
magar haañ
bas ehsās hai is qadar qarna-hā qarn pahle
ki ginnā bhī chāhe to koī jinheñ gin na paa.e
bhalā reg-e-sāhil ke phaile hue nanhe zarroñ ko koī kahāñ tak gine
machaltī huī mast lahroñ ko sāhil se chhuTne kā ġham hī nahīñ hai
vidā-e-sukūñ jaise koī sitam hī nahīñ hai
jise qarna-hā-qarn pahle bhī maiñ ne sunā thā
jise log sūraj ke bujhne talak yūñhī sunte raheñge
ufuq-ta-ufuq ye dhundalke ka aalam
ye had-e-nazar tak
nam-alud si ret ka narm qalin ki jis par
samundar ki chanchal jawan beTiyon ne
kisi naqsh-e-pa ko bhi na chhoDa
faza apne daman mein bojhal KHamoshi sameTe hai lekin
machalti hui mast lahron ke honTon pe naghma hai raqsan
ye naghma suna tha mujhe yaad aata nahin kab
magar han
bas ehsas hai is qadar qarna-ha qarn pahle
ki ginna bhi chahe to koi jinhen gin na pae
bhala reg-e-sahil ke phaile hue nanhe zarron ko koi kahan tak gine
machalti hui mast lahron ko sahil se chhuTne ka gham hi nahin hai
wida-e-sukun jaise koi sitam hi nahin hai
jise qarna-ha-qarn pahle bhi main ne suna tha
jise log suraj ke bujhne talak yunhi sunte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.