azali masarraton ki azali manzil
maTiyāle maTiyāle bādal ghuum rahe haiñ maidānoñ ke phailāv par
dariyā kī dīvānī maujeñ humak humak kar hans detī haiñ ik naav par
sāmne uude se parbat kī abr-ālūda choTī par hai ek shivālā
jis ke aks kī tābānī se phail rahā hai chāroñ jānib ek ujālā
jhilmil kartī ek mash.al se mehrāboñ ke gahre saa.e raqsīda haiñ
har sū pariyāñ naach rahī haiñ jin ke aariz raḳhshāñ nazreñ duzdīda haiñ
ambar aur lobān kī lahreñ doshīza kī zulfoñ pe aaise bal khātī haiñ
chāñdī ke nāqūs kī tāneñ dhuñdle dhuñdle nazzāroñ meñ ghul jaatī haiñ
haath baḌhā.e sar nihūuḌā.e patle sāyoñ kā ik jhurmuT ghuum rahā hai
puujā kī lazzat meñ kho kar mandir ke tābinda ziine chuum rahā hai
ek bahut patlī pagDanDī sāhil-e-dariyā se mandir tak kaañp rahī hai
naav chalāne vaalī laḌkī chappū ko māthe se lagā.e haañp rahī hai
dīvānī ko kaun batā.e us mandir kī dhun meñ sab thak-hār ga.e haiñ
saa.e ban ke ghuum rahe haiñ jo be-bāk chalāne vaale paar ga.e haiñ
vo jab naav se utregī maTiyāle maTiyāle bādal ghir ā.eñge
maidānoñ par kohsāroñ par dariyā par naav par sab par chhā jā.eñge
avval to pagDanDī kho kar gir jā.egī ġhāroñ ġhāroñ meñ bechārī
bach niklī to ho jā.egī us ke nāzuk dil par ik haibat sī taarī
hosh meñ aa.ī to rag rag par ek nasha sā be-hoshī kā chhāyā hogā
jism ke badle us mandir meñ dhundlā ik lachkīlā saayā hogā
maTiyale maTiyale baadal ghum rahe hain maidanon ke phailaw par
dariya ki diwani maujen humak humak kar hans deti hain ek naw par
samne ude se parbat ki abr-aluda choTi par hai ek shiwala
jis ke aks ki tabani se phail raha hai chaaron jaanib ek ujala
jhilmil karti ek mashal se mehrabon ke gahre sae raqsida hain
har su pariyan nach rahi hain jin ke aariz raKHshan nazren duzdida hain
ambar aur loban ki lahren doshiza ki zulfon pe aaise bal khati hain
chandi ke naqus ki tanen dhundle dhundle nazzaron mein ghul jati hain
hath baDhae sar nihuuDae patle sayon ka ek jhurmuT ghum raha hai
puja ki lazzat mein kho kar mandir ke tabinda zine chum raha hai
ek bahut patli pagDanDi sahil-e-dariya se mandir tak kanp rahi hai
naw chalane wali laDki chappu ko mathe se lagae hanp rahi hai
diwani ko kaun batae us mandir ki dhun mein sab thak-haar gae hain
sae ban ke ghum rahe hain jo be-bak chalane wale par gae hain
wo jab naw se utregi maTiyale maTiyale baadal ghir aaenge
maidanon par kohsaron par dariya par naw par sab par chha jaenge
awwal to pagDanDi kho kar gir jaegi ghaaron ghaaron mein bechaari
bach nikli to ho jaegi us ke nazuk dil par ek haibat si tari
hosh mein aai to rag rag par ek nasha sa be-hoshi ka chhaya hoga
jism ke badle us mandir mein dhundla ek lachkila saya hoga
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 307)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.