azhdaha
nāshte ke ba.ad
aaj ham aap ko
ek azhdahe se milvā.eñge
jise ham ne
samundar meñ muñh Daal ke
paanī piite hue pakḌā hai
ham ne abhī tak
us ke peT meñ
kachhve ke anDe shutur murġh kī Tāñgeñ
aur ek sahrā daryāft kiyā hai
vo ḳhema
aur vo hiran kī khaal
abhī hameñ nahīñ milī hai
jahāñ sote hue
hameñ azhdahe ne
nāshte se pahle niglā thā
nashte ke baad
aaj hum aap ko
ek azhdahe se milwaenge
jise hum ne
samundar mein munh Dal ke
pani pite hue pakDa hai
hum ne abhi tak
us ke peT mein
kachhwe ke anDe shutur murgh ki Tangen
aur ek sahra daryaft kiya hai
wo KHema
aur wo hiran ki khaal
abhi hamein nahin mili hai
jahan sote hue
hamein azhdahe ne
nashte se pahle nigla tha
- Book : saarii nazmen (Pg. 165)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.