raat
raat ke añdhere meñ kitne paap palte haiñ
pūchhtā phire koī kis se kaun paapī hai
pūchhne se kyā hāsil pūchhne se kyā hogā
mahshar ik bapā hogā shor-e-nāravā hogā
dard kam to kyā hogā aur kuchh sivā hogā
kaun kis kī suntā hai kis ko itnī fursat hai
daad ḳhvāh banñā bhī fe.al-e-be-fazīlat hai
daad samm-e-qātil hai marnā kis ko bhātā hai
taur-e-zindagī sāhab raat kā nirālā hai
raat ke añdhere meñ kitne paap palte haiñ
kitne saañp palte haiñ chār-sū uchhalte haiñ
chheḌiye to phuñkāreñ chhoḌiye to Daste haiñ
DhiiT ban ke phirte haiñ saañp kis se Darte haiñ
log Darte phirte haiñ log bachte phirte haiñ
ḳhāmushī ke ġhāroñ meñ ḳhāmushī se chhupte haiñ
ek dūsre kā muñh bebasī se takte haiñ
sham.a ik jalāne par kaisī kaisī pābandī
nuur par bhī pābandī tuur par bhī pābandī
sau tarah kī pābandī sham.a kaise jal paa.e
kis meñ itnī jur.at hai maut se ulajh jaa.e
yaas dil se kahtī hai maslahat baḌī shai hai
maslahat isī meñ hai qufl Dāliye lab par
josh laakh bahlā.e kuchh na lā.iye lab par
yaas ek buḌhiyā hai tajarbe se kahtī hai
log qadr karte haiñ maslahat isī meñ hai
maslahat pe chalte haiñ ḳhairiyat isī meñ hai
raat baḌhtī jaatī hai raat baḌhtī jaatī hai
raat ke añdhere meñ kuchh nazar nahīñ aatā
raat baḌhtī jaatī hai hosh baḌhtā jaatā hai
dard baḌhtā jaatā hai josh baḌhtā jaatā hai
raat ke añdhere meñ kuchh nazar nahīñ aatā
tīrgī nazar meñ hai dil kā haal dil meñ hai
dil ke laakh goshoñ meñ laakh sham.eñ jaltī haiñ
maslahat kī zanjīreñ dam-ba-dam pighaltī haiñ
dam-ba-dam ḳhamoshī se raat ke añdhere meñ
raat baḌhtī jaatī hai raat kaTtī jaatī hai
raat ke añdhere meñ kuchh nazar nahīñ aatā
raat ke andhere mein kitne pap palte hain
puchhta phire koi kis se kaun papi hai
puchhne se kya hasil puchhne se kya hoga
mahshar ek bapa hoga shor-e-narawa hoga
dard kam to kya hoga aur kuchh siwa hoga
kaun kis ki sunta hai kis ko itni fursat hai
dad KHwah banna bhi feal-e-be-fazilat hai
dad samm-e-qatil hai marna kis ko bhata hai
taur-e-zindagi sahab raat ka nirala hai
raat ke andhere mein kitne pap palte hain
kitne sanp palte hain chaar-su uchhalte hain
chheDiye to phunkaren chhoDiye to Daste hain
DhiT ban ke phirte hain sanp kis se Darte hain
log Darte phirte hain log bachte phirte hain
KHamushi ke ghaaron mein KHamushi se chhupte hain
ek dusre ka munh bebasi se takte hain
shama ek jalane par kaisi kaisi pabandi
nur par bhi pabandi tur par bhi pabandi
sau tarah ki pabandi shama kaise jal pae
kis mein itni jurat hai maut se ulajh jae
yas dil se kahti hai maslahat baDi shai hai
maslahat isi mein hai qufl Daliye lab par
josh lakh bahlae kuchh na laiye lab par
yas ek buDhiya hai tajarbe se kahti hai
log qadr karte hain maslahat isi mein hai
maslahat pe chalte hain KHairiyat isi mein hai
raat baDhti jati hai raat baDhti jati hai
raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata
raat baDhti jati hai hosh baDhta jata hai
dard baDhta jata hai josh baDhta jata hai
raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata
tirgi nazar mein hai dil ka haal dil mein hai
dil ke lakh goshon mein lakh shamen jalti hain
maslahat ki zanjiren dam-ba-dam pighalti hain
dam-ba-dam KHamoshi se raat ke andhere mein
raat baDhti jati hai raat kaTti jati hai
raat ke andhere mein kuchh nazar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.