pa-e-junun shart nahin
raah tārīk thī dushvār thā har ek qadam
manzil-e-zīst ke har gaam pe Thokar khaa.ī
mash.al-e-azm liye phir bhī meñ baḌhtā hī rahā
dard-o-ālām kī āñdhī jo kabhī tez huī
dāman-e-shauq meñ mash.al ko chhupāyā maiñ ne
bahar bandagī-o-sho.alagī mash.al-e-azm
merī shiryānoñ kā har qatra-e-ḳhūñ vāqif huā
dāman-e-shauq bhī jal-bujh ke kahīñ raakh huā
aur phir dhundlī huī bujhtī ga.ī mash.al-e-azm
raah kuchh aur bhī tārīk vo siyah hotī ga.ī
ghor añdhiyāre ke ifrīt mujhe Daste rahe
zindagī apnī un hī bhūl-bhulayyoñ meñ rahī
apnī manzil kā magar mujh ko pata mil na sakā
ham-safar aur bhī kuchh saath chale the mere
un meñ vo josh-e-junūñ aur na vo azm-o-yaqīñ
mast-o-sarshār rahe bāda-e-ġhaflat pī kar
ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ har gaam pe mad.hosh rahe
un kī manzil ne magar un ke qadam chuum liye
un kī us nusrat-e-be-jā pe mujhe rashk nahīñ
aaj bhī mujh meñ hai vo josh-e-junūñ azm-o-yaqīñ
aaj bhī naaz hai go jahd-o-amal pe apne
maslahat-kosh nahīñ aaj bhī ma.asūm-e-junūñ
ḳhizr kī bejā ḳhushāmad pe nahīñ raazī hunūz
haañ magar zehn ke parde pe ubharte haiñ savāl
ḳhizr kī bejā ḳhushāmad hī muqaddam hai yahāñ
vasl-e-manzil ke liye pā-e-junūñ shart nahīñ
rah tarik thi dushwar tha har ek qadam
manzil-e-zist ke har gam pe Thokar khai
mashal-e-azm liye phir bhi mein baDhta hi raha
dard-o-alam ki aandhi jo kabhi tez hui
daman-e-shauq mein mashal ko chhupaya main ne
bahar bandagi-o-shoalagi mashal-e-azm
meri shiryanon ka har qatra-e-KHun waqif hua
daman-e-shauq bhi jal-bujh ke kahin rakh hua
aur phir dhundli hui bujhti gai mashal-e-azm
rah kuchh aur bhi tarik wo siyah hoti gai
ghor andhiyare ke ifrit mujhe Daste rahe
zindagi apni un hi bhul-bhulayyon mein rahi
apni manzil ka magar mujh ko pata mil na saka
ham-safar aur bhi kuchh sath chale the mere
un mein wo josh-e-junun aur na wo azm-o-yaqin
mast-o-sarshaar rahe baada-e-ghaflat pi kar
KHwab-e-KHargosh mein har gam pe madhosh rahe
un ki manzil ne magar un ke qadam chum liye
un ki us nusrat-e-be-ja pe mujhe rashk nahin
aaj bhi mujh mein hai wo josh-e-junun azm-o-yaqin
aaj bhi naz hai go jahd-o-amal pe apne
maslahat-kosh nahin aaj bhi masum-e-junun
KHizr ki beja KHushamad pe nahin raazi hunuz
han magar zehn ke parde pe ubharte hain sawal
KHizr ki beja KHushamad hi muqaddam hai yahan
wasl-e-manzil ke liye pa-e-junun shart nahin
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.