ba-faiz-e-qaed-e-azam
ham vo haiñ jin kī rivāyāt-e-salaf ke aage
chaḌhte sūraj the nagoñ
qaisar-o-kisrā the zubūñ
gardish-e-vaqt se ik aisā zamāna aayā
ham nigūñ-sār-o-zabūñ-hāl-o-parāganda hue
sāl-hā-sāl kī is sūrat-e-hālāt ke ba.ad
ek insān uThā aisā ki jis ne baḌh kar
azm-o-himmat kā shujā.at kā chalan aam kiyā
aur barsoñ kī ġhulāmī ke shikanjoñ meñ kase
rāh-e-gum-karda bhaTakte hue insānoñ ko
lafz-e-āzādī-e-jamhūr se āgāh kiyā
ik na.e daur-e-daraḳhshanda kā paiġhām diyā
qāfile baḌhte rahe baḌhte rahe baḌhte rahe
sūraj āzādi-e-insāñ ke yūñhī chaḌhte rahe
ham ki vāqif the rivāyāt-e-salaf se apnī
DaT ga.e nazm-e-vatan kī ḳhātir
azm-o-himmat se shujā.at se nayā kaam liyā
aur qaa.id ke usūloñ kā chalan aam kiyā
aaj ham phir vahī mardān-e-jarī haiñ ki jo the
hum wo hain jin ki riwayat-e-salaf ke aage
chaDhte suraj the nagon
qaisar-o-kisra the zubun
gardish-e-waqt se ek aisa zamana aaya
hum nigun-sar-o-zabun-haal-o-paraganda hue
sal-ha-sal ki is surat-e-haalat ke baad
ek insan uTha aisa ki jis ne baDh kar
azm-o-himmat ka shujaat ka chalan aam kiya
aur barson ki ghulami ke shikanjon mein kase
rah-e-gum-karda bhaTakte hue insanon ko
lafz-e-azadi-e-jamhur se aagah kiya
ek nae daur-e-daraKHshanda ka paigham diya
qafile baDhte rahe baDhte rahe baDhte rahe
suraj aazadi-e-insan ke yunhi chaDhte rahe
hum ki waqif the riwayat-e-salaf se apni
DaT gae nazm-e-watan ki KHatir
azm-o-himmat se shujaat se naya kaam liya
aur qaid ke usulon ka chalan aam kiya
aaj hum phir wahi mardan-e-jari hain ki jo the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.