ba-nam-e-ibn-e-adam
ab tak tum se kahā gayā hai
insāñ faanī maut aTal hai
jīvan jal hai
jis kī dhaar kabhī na TuuTe
jo aatā hai mar jaatā hai
jo aa.egā mar jā.egā
maiñ tum se kahne aayā huuñ
insāñ lā-fānī hai amar hai
maut taġhayyur kā ik pul hai
jīvan jal hai
jis kā koī ant nahīñ hai
rah jaa.e to ye sāgar hai
aur mar jaa.e to bādal hai
ab tak tum se kaha gaya hai
insan fani maut aTal hai
jiwan jal hai
jis ki dhaar kabhi na TuTe
jo aata hai mar jata hai
jo aaega mar jaega
main tum se kahne aaya hun
insan la-fani hai amar hai
maut taghayyur ka ek pul hai
jiwan jal hai
jis ka koi ant nahin hai
rah jae to ye sagar hai
aur mar jae to baadal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.