ba-yaad-e-aKHtar shirani
fazā-e-ishq ko mātam-gusār chhoḌ gayā
jahāñ meñ naqsh-e-vafā yādgār chhoḌ gayā
payām-e-dīda-e-afsāna-kār chhoḌ gayā
hikāyat-e-ḳham-e-gesū-e-yār chhoḌ gayā
nazar meñ ik ḳhalish-e-intizār chhoḌ gayā
jigar meñ ik tapish-e-dard-kār chhoḌ gayā
sunā ke rāh-e-mohabbat meñ naġhma-hā-e-junūñ
qabā-e-lāla-o-gul tār-tār chhoḌ gayā
ufuq ke paar gayā ḳhanda-zan bahāroñ par
chaman ko ġham-zada-o-sogvār chhoḌ gayā
bisāt-e-ḳhāk ko de kar bahār-e-lāla-o-gul
chaman ke siine pe zaḳhm-e-bahār chhoḌ gayā
shab-e-bahār meñ tāroñ kī raushnī ke liye
matā-e-giryā-e-ḳhūñāba-bār chhoḌ gayā
paTak ke jaam zamāne kī be-sabātī par
nishān-e-hastī-e-nā-pā.edār chhoḌ gayā
sharāb-o-sher kī rañgīñ fazā pe lahrā kar
surūd-e-ḳhum-kada-e-nau-bahār chhoḌ gayā
faza-e-ishq ko matam-gusar chhoD gaya
jahan mein naqsh-e-wafa yaadgar chhoD gaya
payam-e-dida-e-afsana-kar chhoD gaya
hikayat-e-KHam-e-gesu-e-yar chhoD gaya
nazar mein ek KHalish-e-intizar chhoD gaya
jigar mein ek tapish-e-dard-kar chhoD gaya
suna ke rah-e-mohabbat mein naghma-ha-e-junun
qaba-e-lala-o-gul tar-tar chhoD gaya
ufuq ke par gaya KHanda-zan bahaaron par
chaman ko gham-zada-o-sogwar chhoD gaya
bisat-e-KHak ko de kar bahaar-e-lala-o-gul
chaman ke sine pe zaKHm-e-bahaar chhoD gaya
shab-e-bahaar mein taron ki raushni ke liye
mata-e-girya-e-KHunaba-bar chhoD gaya
paTak ke jam zamane ki be-sabaati par
nishan-e-hasti-e-na-paedar chhoD gaya
sharab-o-sher ki rangin faza pe lahra kar
surud-e-KHum-kada-e-nau-bahaar chhoD gaya
- Sher-o-hikmata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.