ba-yaad-e-mahrum
ho kar vo rahā arsh ki jo thā maqsūm
har qalb hai is vaqt hazīn-o-maġhmūm
marhūm ko DhūñDte haiñ duniyā vaale
marhūm se ho ga.ī hai duniyā mahrūm
ab is se hī hogā rañj dil se mādūm
kyuuñ hote ho ai 'arsh' malūl-o-maġhmūm
marhūm kī yaad aur nahīñ us ke sivā
marhūm kī yaad hai kalām-e-mahrūm
jab tak haiñ zamāne meñ mah-o-shamsh-o-nujūm
jab tak haiñ jahāñgīr-e-funūn aur uluum
jab tak hai jahāñ meñ naġhz goī qaa.em
hogā lab-e-duniyā pe kalām-e-'mahrūm'
ho kar wo raha arsh ki jo tha maqsum
har qalb hai is waqt hazin-o-maghmum
marhum ko DhunDte hain duniya wale
marhum se ho gai hai duniya mahrum
ab is se hi hoga ranj dil se madum
kyun hote ho ai 'arsh' malul-o-maghmum
marhum ki yaad aur nahin us ke siwa
marhum ki yaad hai kalam-e-mahrum
jab tak hain zamane mein mah-o-shamsh-o-nujum
jab tak hain jahangir-e-funun aur ulum
jab tak hai jahan mein naghz goi qaem
hoga lab-e-duniya pe kalam-e-'mahrum'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.