ba-wafa
shajar hijrat nahīñ karte
bigaḌte mausamoñ rūThī ghaTāoñ
duur hote pāniyoñ tak se kabhī
nafrat nahīñ karte
ye apnī ijtimā.ī qatl-gāhoñ kā
tamāshā dekhte haiñ par
na.e sarsabz maidānoñ
ḳhunuk jhīloñ ke mutalāshī nahīñ hote
zamīñ se apnī paivasta tanābeñ khīñch kar uḌne nahīñ lagte
shajar hijrat nahīñ karte
shajar hijrat nahin karte
bigaDte mausamon ruThi ghaTaon
dur hote paniyon tak se kabhi
nafrat nahin karte
ye apni ijtimai qatl-gahon ka
tamasha dekhte hain par
nae sarsabz maidanon
KHunuk jhilon ke mutalashi nahin hote
zamin se apni paiwasta tanaben khinch kar uDne nahin lagte
shajar hijrat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.