babu subhash chandr bose ke nam
āzādī-e-vatan ke mujāhid subhāsh bose
jantā ko tujh pe faḳhr hai bhārat ko naaz hai
tū rakh ke jaañ hathelī pe bahr-e-vatan gayā
jur.at pe terī mulk kī azmat ko naaz hai
ahl-e-vatan bhulā na sakeñge kabhī tujhe
azm-o-amal pe tere shujā.at ko naaz hai
umr-e-tavīl de tujhe haq se hai ye duā
allāh aur hausla terā kare buland
tujh āshiq-e-vatan pe siyāsat ko naaz hai
āzād hind fauj ke aalī commander
baabū subhāsh bose pe bhārat ko naaz hai
āzādī-e-vatan ke mujāhid ḳhudā kare
allāh tujh ko ġhaib se tāqat atā kare
aazadi-e-watan ke mujahid subhash bose
janta ko tujh pe faKHr hai bhaarat ko naz hai
tu rakh ke jaan hatheli pe bahr-e-watan gaya
jurat pe teri mulk ki azmat ko naz hai
ahl-e-watan bhula na sakenge kabhi tujhe
azm-o-amal pe tere shujaat ko naz hai
umr-e-tawil de tujhe haq se hai ye dua
allah aur hausla tera kare buland
tujh aashiq-e-watan pe siyasat ko naz hai
aazad hind fauj ke aali commander
babu subhash bose pe bhaarat ko naz hai
aazadi-e-watan ke mujahid KHuda kare
allah tujh ko ghaib se taqat ata kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.