baad-az-marg
maiñ mar chukā huuñ
aur mujhe pata bhī nahīñ
ab kyā karoge tum
nahlāoge mujhe
aur pūchhoge bhī nahīñ
maiñ nahānā chāhtā huuñ yā nahīñ
ye bhī nahīñ dekhoge
paanī garm hai yā nahīñ
bhuul jāoge ki achchhā nahīñ lagtā
mujhe ThanDā paanī
nahāne ke liye na piine ke liye
phir libās tabdīl karoge merā
aur ye bhī nahīñ pūchhoge
kyā pahannā chāhtā huuñ
kaun sā rañg patlūn qamīz yā kuchh aur
mujh se pūchhe baġhair
tum vo sab kuchh karoge
jo maiñ ne apne saath kabhī nahīñ hone diyā
ek do baar nahīñ saikaḌoñ baar
maiñ ne ḳhud ko intihā.ī be-bas mahsūs kiyā hai
la.anat ho mujh par
maut hai bebasī kī intihā
ye baat mujh par kab khulī hai
mere jism se jald-az-jald
jaan chhuḌā ke
tum lauToge
yā shāyad vahīñ se chale jāoge
shāyad kuchh der bāteñ karoge
mere baare meñ kam
kārobār ke baare meñ
kisī mēting ke baare meñ
yā sports ke baare meñ
yā kisī adākāra ke na.e scandal ke baare meñ
shāyad kuchh khāoge yā shāyad kuchh piyoge
aur ek ek kar ke ruḳhsat ho jāoge
darvāze par ruke baġhair
ye dekhe baġhair
ki maiñ tumheñ ruḳhsat karne aa rahā huuñ
shukriya adā karnā chāhtā huuñ maiñ tumhārā
tamām masrūfiyat ke bāvajūd
itnā vaqt nikālne par
main mar chuka hun
aur mujhe pata bhi nahin
ab kya karoge tum
nahlaoge mujhe
aur puchhoge bhi nahin
main nahana chahta hun ya nahin
ye bhi nahin dekhoge
pani garm hai ya nahin
bhul jaoge ki achchha nahin lagta
mujhe ThanDa pani
nahane ke liye na pine ke liye
phir libas tabdil karoge mera
aur ye bhi nahin puchhoge
kya pahanna chahta hun
kaun sa rang patlun qamiz ya kuchh aur
mujh se puchhe baghair
tum wo sab kuchh karoge
jo main ne apne sath kabhi nahin hone diya
ek do bar nahin saikaDon bar
main ne KHud ko intihai be-bas mahsus kiya hai
lanat ho mujh par
maut hai bebasi ki intiha
ye baat mujh par kab khuli hai
mere jism se jald-az-jald
jaan chhuDa ke
tum lauToge
ya shayad wahin se chale jaoge
shayad kuchh der baaten karoge
mere bare mein kam
karobar ke bare mein
kisi meeting ke bare mein
ya sports ke bare mein
ya kisi adakara ke nae scandal ke bare mein
shayad kuchh khaoge ya shayad kuchh piyoge
aur ek ek kar ke ruKHsat ho jaoge
darwaze par ruke baghair
ye dekhe baghair
ki main tumhein ruKHsat karne aa raha hun
shukriya ada karna chahta hun main tumhaara
tamam masrufiyat ke bawajud
itna waqt nikalne par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.