baad-az-waqt
dil ko ehsās se do-chār na kar denā thā
sāz-e-ḳhvābīda ko bedār na kar denā thā
apne ma.asūm tabassum kī farāvānī ko
vus.at-e-dīd pe gul-bār na kar denā thā
shauq-e-majbūr ko bas ek jhalak dikhlā kar
vāqif-e-lazzat-e-takrār na kar denā thā
chashm-e-mushtāq kī ḳhāmosh tamannāoñ ko
yak-ba-yak mā.el-e-guftār na kar denā thā
jalva-e-husn ko mastūr hī rahne dete
hasrat-e-dil ko gunahgār na kar denā thā
dil ko ehsas se do-chaar na kar dena tha
saz-e-KHwabida ko bedar na kar dena tha
apne masum tabassum ki farawani ko
wusat-e-did pe gul-bar na kar dena tha
shauq-e-majbur ko bas ek jhalak dikhla kar
waqif-e-lazzat-e-takrar na kar dena tha
chashm-e-mushtaq ki KHamosh tamannaon ko
yak-ba-yak mael-e-guftar na kar dena tha
jalwa-e-husn ko mastur hi rahne dete
hasrat-e-dil ko gunahgar na kar dena tha
- Book : Nuskha Hai Wafa(Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 33)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.