baadal aaj kai dinon ke baad roya
duur gagan meñ kahīñ thā ab tak khoyā
bādal aaj ka.ī dinoñ ke ba.ad royā
bādal rotā maiñ muskurātā huuñ
vo ġham bitātā maiñ ḳhushiyāñ manātā huuñ
bādal ke aañsū ne saara jag bhigoyā
bādal aaj ka.ī dinoñ ke ba.ad royā
ab bādal rotā maiñ hañstā nahīñ thā
us ke aañsū par maza kastā nahīñ thā
bādal ke aañsū ne hariyālī kā manzar laaya
sapnoñ sā thā darpan jag ko aañsū ne chamkāyā
bādal ne jaise rone kī zid thī Thānī
us ke aañsū dhartī par kar rahe the man-mānī
ab bādal rotā to maiñ bhī rotā huuñ
apne sapne us ke aañsū se bhigotā huuñ
hariyālī kā manzar jaise ujḌā kahī khoyā
bādal aaj ka.ī dinoñ ke ba.ad royā
kuchh mahīne biite bādal maan gayā
apne aañsū ko thāmnā jaise jaan gayā
ab badal muskurātā maiñ muskurātā huuñ
rone par kisī ke na hañsnā sab ko samjhātā huuñ
duur gagan meñ kahī thā ab tak khoyā
bādal aaj ka.ī dinoñ ke ba.ad royā
dur gagan mein kahin tha ab tak khoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
baadal rota main muskuraata hun
wo gham bitata main KHushiyan manata hun
baadal ke aansu ne sara jag bhigoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
ab baadal rota main hansta nahin tha
us ke aansu par maza kasta nahin tha
baadal ke aansu ne hariyali ka manzar laya
sapnon sa tha darpan jag ko aansu ne chamkaya
baadal ne jaise rone ki zid thi Thani
us ke aansu dharti par kar rahe the man-mani
ab baadal rota to main bhi rota hun
apne sapne us ke aansu se bhigota hun
hariyali ka manzar jaise ujDa kahi khoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
kuchh mahine bite baadal man gaya
apne aansu ko thamna jaise jaan gaya
ab badal muskuraata main muskuraata hun
rone par kisi ke na hansna sab ko samjhata hun
dur gagan mein kahi tha ab tak khoya
baadal aaj kai dinon ke baad roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.