baadal aur chand
niile sāgar vaale chāñd
mujh ko paas bulā le chāñd
barkhā meñ jaatā hai kahāñ tū
le kar shaal do-shāle chāñd
taare haiñ ye aas lagā.e
muñh parde se nikāle chāñd
bādal kā ik halkā halkā
muñh par āñchal Daale chāñd
gañgā ke dhāre meñ utar kar
phir kuchh ġhote khā le chāñd
abr-e-siyah meñ lipaT kar niklā
kaalī kamlī vaale chāñd
le aayā hai kahāñ se ye tū
itne ruī ke gaale chāñd
kaañp rahe haiñ taare un ko
tū kambal meñ chhupā le chāñd
bādal ke phande meñ na phañsnā
sun ai bhole-bhāle chāñd
nile sagar wale chand
mujh ko pas bula le chand
barkha mein jata hai kahan tu
le kar shaal do-shaale chand
tare hain ye aas lagae
munh parde se nikale chand
baadal ka ek halka halka
munh par aanchal Dale chand
ganga ke dhaare mein utar kar
phir kuchh ghote kha le chand
abr-e-siyah mein lipaT kar nikla
kali kamli wale chand
le aaya hai kahan se ye tu
itne rui ke gale chand
kanp rahe hain tare un ko
tu kambal mein chhupa le chand
baadal ke phande mein na phansna
sun ai bhole-bhaale chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.