baadal aur tare
ḳhatm huā din sūraj Duubā
shaam huī aur ubhre taare
jagmag jagmag karte aa.e
nuur ke TukḌe pyāre pyāre
duur kahīñ se ThanDe ThanDe
tez havā ke jhoñke aa.e
kāñdhoñ par apne vo uThā kar
chhoTe chhoTe bādal laa.e
un ko dekh ke aur bhī barsā
nuur masarrat kā tāroñ se
koī chhupā aur koī niklā
bādal ke in ambāroñ se
khel rahe hoñ jaise bachche
āñkh-mīcholī galī galī meñ
yā shabnam ke qatre chamkeñ
ojhal ho kar galī galī meñ
KHatm hua din suraj Duba
sham hui aur ubhre tare
jagmag jagmag karte aae
nur ke TukDe pyare pyare
dur kahin se ThanDe ThanDe
tez hawa ke jhonke aae
kandhon par apne wo uTha kar
chhoTe chhoTe baadal lae
un ko dekh ke aur bhi barsa
nur masarrat ka taron se
koi chhupa aur koi nikla
baadal ke in ambaron se
khel rahe hon jaise bachche
aankh-micholi gali gali mein
ya shabnam ke qatre chamken
ojhal ho kar gali gali mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.