baadal
barkhā rut meñ aate haiñ bādal
paanī bhar kar laate haiñ bādal
āñgan āñgan barsāte haiñ
khetoñ ko tar kar jaate haiñ
pyāsī dhartī ke hoñToñ par
bhar jaate haiñ amrit lā kar
varshā ke ye duut haiñ bādal
karte haiñ dhartī ko jal-thal
phūloñ ko dete haiñ tabassum
koyal ko dete haiñ tarannum
cham-cham bijlī chamkāte haiñ
ek kiran sī lahrāte haiñ
shor machāte haiñ gaate haiñ
chāroñ taraf ye mañDlāte haiñ
gītoñ kī rut jhūloñ ke din
kaliyoñ kī shab phūloñ ke din
varshā kī rut bhar ke laate
barsāte lahrāte jaate
barkha rut mein aate hain baadal
pani bhar kar late hain baadal
aangan aangan barsate hain
kheton ko tar kar jate hain
pyasi dharti ke honTon par
bhar jate hain amrit la kar
warsha ke ye dut hain baadal
karte hain dharti ko jal-thal
phulon ko dete hain tabassum
koyal ko dete hain tarannum
cham-cham bijli chamkate hain
ek kiran si lahraate hain
shor machate hain gate hain
chaaron taraf ye manDlate hain
giton ki rut jhulon ke din
kaliyon ki shab phulon ke din
warsha ki rut bhar ke late
barsate lahraate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.