baadal dost hamare
bādal dost hamāre
bādal dost hamāre
ghar ghar aa.eñ meñh barsā.eñ
chāñdī barse āñgan āñgan dvāre dvāre
bādal dost hamāre
bādal dost hamāre
sūkhī dhartī jal-thal kar deñ
khetoñ ko amrit se bhar deñ
barseñ ras ke dhāre
bādal dost hamāre
uḌte aa.eñ niil gagan meñ
bāġhoñ meñ khetoñ meñ chaman meñ
jaise chaleñ favvāre
bādal dost hamāre
bhar bhar āñchal paanī laayā
jab bhī pyāse dil ne bulāyā
aa jā rahe aa jā re
bādal dost hamāre
ye duniyā kī pyaas bujhā.eñ
kaash ye bādal aaj bujhā.eñ
nafrat ke angāre
bādal dost hamāre
kitne hī kaale bādal hoñ
aas bañdhī hai chamke haiñ chāñdī se kināre
aas bañdhātā jā re
bādal dost hamāre
baadal dost hamare
baadal dost hamare
ghar ghar aaen meinh barsaen
chandi barse aangan aangan dware dware
baadal dost hamare
baadal dost hamare
sukhi dharti jal-thal kar den
kheton ko amrit se bhar den
barsen ras ke dhaare
baadal dost hamare
uDte aaen nil gagan mein
baghon mein kheton mein chaman mein
jaise chalen fawware
baadal dost hamare
bhar bhar aanchal pani laya
jab bhi pyase dil ne bulaya
aa ja rahe aa ja re
baadal dost hamare
ye duniya ki pyas bujhaen
kash ye baadal aaj bujhaen
nafrat ke angare
baadal dost hamare
kitne hi kale baadal hon
aas bandhi hai chamke hain chandi se kinare
aas bandhata ja re
baadal dost hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.