baadal jhuk aae the
bādal jhuk aa.e the
aamoñ kī Daalī ke nīche kachchī miTTī soī huī thī
tez havā se patte nīche girte the
maiñ tanhā peḌ ke paas khaḌā thā
soch rahā thā ruḳhsat aisī hotī hai
sab kuchh dil kī handī meñ se bāhar aa kar
be-ḳhushbū ke phuul kī sūrat ho jaatā hai
rāheñ taktī sapne sotī āñkheñ
aañsū bhar kar collar pe aa jaatī haiñ
meñh ke pardoñ meñ se dil kī miTTī
apne bojhal suḳhnoñ ke paanī meñ dhul kar
pal ke pal anjān havā meñ kho jaatī hai
shaam kī bāñheñ dastak ban kar aatī haiñ
aur ḳhud hī apne aap havā kī lahroñ meñ kho jaatī haiñ
koī nahīñ hai
dil ne apne saare kāġhaz thaam liye haiñ
meñh kī būñdeñ jin pe girtī rahtī haiñ
baadal jhuk aae the
aamon ki Dali ke niche kachchi miTTi soi hui thi
tez hawa se patte niche girte the
main tanha peD ke pas khaDa tha
soch raha tha ruKHsat aisi hoti hai
sab kuchh dil ki handi mein se bahar aa kar
be-KHushbu ke phul ki surat ho jata hai
rahen takti sapne soti aankhen
aansu bhar kar collar pe aa jati hain
meinh ke pardon mein se dil ki miTTi
apne bojhal suKHnon ke pani mein dhul kar
pal ke pal anjaan hawa mein kho jati hai
sham ki banhen dastak ban kar aati hain
aur KHud hi apne aap hawa ki lahron mein kho jati hain
koi nahin hai
dil ne apne sare kaghaz tham liye hain
meinh ki bunden jin pe girti rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.