baadal ka khel
Interesting Fact
(Master Sabaq is teaching)
ustād
vo bādal kā ik paara hai
kyā pyārā hai
tum dekhte ho
shāgird
be-shak be-shak
ham dekhte haiñ
ye bādal kā ik paara hai
sir jī sir jī
ham dekhte haiñ
ye bādal kitnā pyārā hai
ustād
tum us ko nazar jamā dekho
ta.amīr dikhā.ī detī hai
dekho dekho
ik uuñT dikhā.ī detā hai
guḌ gehūñ ke bhārī bore
uf kitnā bojh uThā.e hue
lambī gardan lahrā.e hue
shāgird
jī dekh liyā
sir jī sir jī
ye uuñT hai bojh uThā.e hue
be-shak be-shak
ye uuñT hai bojh uThā.e hue
kuchh chāra daana khaa.e hue
ustād
lo uuñT se ik gīdaḌ niklā
bhūrā bhūrā
gīdaḌ puurā
naT-khaT naT-khaT
dauḌe sarpaT
kyoñ dekh liyā
shāgird
jī dekh liyā
sir dekh liyā
dum bhī dekhī
be-shak be-shak
naT-khaT naT-khaT
ustād
gīdaḌ bhī kahāñ
ye ghoḌā hai
dekho to kaise dauḌā hai
dum chhoTī gardan moTī hai
shāgird
be-shak be-shak
ye ghoḌā hai
bilkul bilkul
ye ghoḌā hai ye ghoḌā hai
ustad
wo baadal ka ek para hai
kya pyara hai
tum dekhte ho
shagird
be-shak be-shak
hum dekhte hain
ye baadal ka ek para hai
sir ji sir ji
hum dekhte hain
ye baadal kitna pyara hai
ustad
tum us ko nazar jama dekho
tamir dikhai deti hai
dekho dekho
ek unT dikhai deta hai
guD gehun ke bhaari bore
uf kitna bojh uThae hue
lambi gardan lahrae hue
shagird
ji dekh liya
sir ji sir ji
ye unT hai bojh uThae hue
be-shak be-shak
ye unT hai bojh uThae hue
kuchh chaara dana khae hue
ustad
lo unT se ek gidaD nikla
bhura bhura
gidaD pura
naT-khaT naT-khaT
dauDe sarpaT
kyon dekh liya
shagird
ji dekh liya
sir dekh liya
dum bhi dekhi
be-shak be-shak
naT-khaT naT-khaT
ustad
gidaD bhi kahan
ye ghoDa hai
dekho to kaise dauDa hai
dum chhoTi gardan moTi hai
shagird
be-shak be-shak
ye ghoDa hai
bilkul bilkul
ye ghoDa hai ye ghoDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.