Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baadal

MORE BYKhatir Ghaznavi

    shor machāte uTThe bādal

    zor lagāte uTThe bādal

    ab haiñ gore ab haiñ kaale

    ab haiñ laal aur ab maTiyāle

    kyā kyā rang badalte aa.e

    pal meñ hāthī pal meñ gaay

    pal meñ ruuī ik Dher

    pal meñ bakrī pal meñ sher

    abhī thā paao ab hai ser

    abhī thā tītar abhī baTer

    ab ik saqqa mashk uThā.e

    ab kashtī dauḌī jaa.e

    daraḳht abhī thā ye pīpal

    aur ab hai ye phuul kañval

    abhī abhī thī saañp chhatrī

    dhuul hai ab ye atom bam

    uuñT thā ab kohān uThā.e

    ab hai kuttā kaan uThā.e

    pal meñ dauḌ lagātā ghoḌā

    puurā nahīñ par thoḌā thoḌā

    ghoḌā pighlā ban gayā bagulā

    bagulā phail ke bail meñ badlā

    bail ik meñDak se Takrāyā

    bādal meñDak Tarrāyā

    ye sun kar nanhā chillāyā

    bādal aayā bādal aayā

    shor machate uTThe baadal

    zor lagate uTThe baadal

    ab hain gore ab hain kale

    ab hain lal aur ab maTiyale

    kya kya rang badalte aae

    pal mein hathi pal mein gay

    pal mein rui ka ek Dher

    pal mein bakri pal mein sher

    abhi tha pao ab hai ser

    abhi tha titar abhi baTer

    ab ek saqqa mashk uThae

    ab kashti si dauDi jae

    daraKHt abhi tha ye pipal ka

    aur ab hai ye phul kanwal ka

    abhi abhi thi sanp ki chhatri

    dhul hai ab ye atom bam ki

    unT tha ab kohan uThae

    ab hai kutta kan uThae

    pal mein dauD lagata ghoDa

    pura nahin par thoDa thoDa

    ghoDa pighla ban gaya bagula

    bagula phail ke bail mein badla

    bail ek meinDak se Takraya

    baadal ka meinDak Tarraya

    ye sun kar nanha chillaya

    baadal aaya baadal aaya

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now