baadh
naddī kī lahreñ
sote sote
jaise ek dam jaag paḌīñ
aur jhapaT paḌīñ
in giile giile
miTTī baalū kañkar
patthar aur cement ke
pushtoñ par
jin se un ko bāñdh ke
sab ne rakh chhoḌā thā
lahak lahak kar
naach naach kar
shor machātī
chāroñ or
galī galī kūche kūche meñ
gharoñ meñ sehnoñ meñ kamroñ bāġhoñ meñ
kone kone meñ vo
jhaT-paT
ghus aa.iiñ
chaḌh-dauḌīñ
koī chiiz na chhūTī un se
bartan, bāsan,
zevar, kapḌe
kursī, mez,
kitābeñ
bhūle-bisre
ḳhat pattar
tasvīreñ
dastāvezeñ
tahrīreñ
bekār paḌī chīzeñ
vo jin ke hone kā bhī pata na thā
lahroñ ne un ko gher liyā
dāman meñ apne
bheñch liyā
kīchaḌ miTTī meñ lat-pat kar Daalā
aur sab kuchh le kar Duub ga.īñ!
phir jaise ik-dam aa.ī thīñ,
vaise hī har har kartī
bal khātī, iThlātī,
nikal ga.iiñ
2
ai kāsh, diloñ meñ rūhoñ meñ
aisī ik chanchal baaḌh aa.e
bekār Daroñ ke Dheroñ par
himmat kī lahreñ bikhrā de
ḳhud-ġharzī ke sandūqoñ ko
ik jhaTkā de kar ulTā de
phāḌe lālach kī poToñ ko
jāloñ ko jahl o shaqāvat ke
aur zulm kī gandī makḌī ko
chiknī kālakh ko ta.assub kī
nābūd kare nāpaid kare
yuuñ nam kar de dil kī khetī
ummīdeñ sab lahrā uTTheñ
gulnār shagūfe ulfat ke
sūkhī jānoñ se phuuT paḌeñ
ai kaash diloñ meñ rūhoñ meñ
aisī ik chanchal baaḌh aa.e
naddi ki lahren
sote sote
jaise ek dam jag paDin
aur jhapaT paDin
in gile gile
miTTi baalu kankar
patthar aur cement ke
pushton par
jin se un ko bandh ke
sab ne rakh chhoDa tha
lahak lahak kar
nach nach kar
shor machati
chaaron or
gali gali kuche kuche mein
gharon mein sehnon mein kamron baghon mein
kone kone mein wo
jhaT-paT
ghus aain
chaDh-dauDin
koi chiz na chhuTi un se
bartan, basan,
zewar, kapDe
kursi, mez,
kitaben
bhule-bisre
KHat pattar
taswiren
dastawezen
tahriren
bekar paDi chizen
wo jin ke hone ka bhi pata na tha
lahron ne un ko gher liya
daman mein apne
bhench liya
kichaD miTTi mein lat-pat kar Dala
aur sab kuchh le kar Dub gain!
phir jaise ik-dam aai thin,
waise hi har har karti
bal khati, iThlati,
nikal gain
2
ai kash, dilon mein ruhon mein
aisi ek chanchal baDh aae
bekar Daron ke Dheron par
himmat ki lahren bikhra de
KHud-gharzi ke sanduqon ko
ek jhaTka de kar ulTa de
phaDe lalach ki poTon ko
jalon ko jahl o shaqawat ke
aur zulm ki gandi makDi ko
chikni kalakh ko tassub ki
nabud kare napaid kare
yun nam kar de dil ki kheti
ummiden sab lahra uTThen
gulnar shagufe ulfat ke
sukhi jaanon se phuT paDen
ai kash dilon mein ruhon mein
aisi ek chanchal baDh aae
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 150)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.