baen aankh mein til wale ki zabani
apne ḳhudā ko hāzir jaan ke
maiñ jo kahūñgā sach hī kahūñgā
sach ke alāva kuchh na kahūñgā
mujh ko kuchh ma.alūm nahīñ hai
bas itnā ma.alūm hai sāhab
kamre meñ ik laash paḌī thī
laash ke paas ik shaḳhs khaḌā thā
us kī baa.eñ aañkh meñ til thā
duudh se ujlā us kā dil thā
sab kahte haiñ vo qātil thaa!
apne KHuda ko hazir jaan ke
main jo kahunga sach hi kahunga
sach ke alawa kuchh na kahunga
mujh ko kuchh malum nahin hai
bas itna malum hai sahab
kamre mein ek lash paDi thi
lash ke pas ek shaKHs khaDa tha
us ki baen aankh mein til tha
dudh se ujla us ka dil tha
sab kahte hain wo qatil tha!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.