Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baghi

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    ra.ad huuñ barq huuñ bechain huuñ paarā huuñ maiñ

    ḳhud-parastār ḳhud-āgāh ḳhud-ārā huuñ maiñ

    ḳhirman-e-jaur jalā de vo sharārā huuñ maiñ

    merī fariyād pe ahl-e-duval añgusht-ba-gosh

    laa, tabar ḳhuun ke dariyā meñ nahāne de mujhe

    sar-e-pur-naḳhvat-e-arbāb-e-zamāñ toḌūñgā

    shor-e-nāla se dar-e-arz-o-samāñ toḌūñgā

    zulm-parvar ravish-e-ahl-e-jahāñ toḌūñgā

    ishrat-ābād imārat makāñ toḌūñgā

    toḌ Dālūñgā maiñ zanjīr-e-asīrān-e-qafas

    dahr ko panja-e-usrat se chhuḌāne de mujhe

    barq ban kar but-e-māzī ko girāne de mujhe

    rasm-e-kohna ko tah-e-ḳhāk milāne de mujhe

    tafraqe maz.hab o millat ke miTāne de mujhe

    ḳhvāb-e-fardā ko bas ab haal banāne de mujhe

    aag huuñ aag huuñ haañ ek dahaktī huī aag

    aag huuñ aag bas ab aag lagāne de mujhe

    rad hun barq hun bechain hun para hun main

    KHud-parastar KHud-agah KHud-ara hun main

    KHirman-e-jaur jala de wo sharara hun main

    meri fariyaad pe ahl-e-duwal angusht-ba-gosh

    la, tabar KHun ke dariya mein nahane de mujhe

    sar-e-pur-naKHwat-e-arbab-e-zaman toDunga

    shor-e-nala se dar-e-arz-o-saman toDunga

    zulm-parwar rawish-e-ahl-e-jahan toDunga

    ishrat-abaad imarat ka makan toDunga

    toD Dalunga main zanjir-e-asiran-e-qafas

    dahr ko panja-e-usrat se chhuDane de mujhe

    barq ban kar but-e-mazi ko girane de mujhe

    rasm-e-kohna ko tah-e-KHak milane de mujhe

    tafraqe mazhab o millat ke miTane de mujhe

    KHwab-e-farda ko bas ab haal banane de mujhe

    aag hun aag hun han ek dahakti hui aag

    aag hun aag bas ab aag lagane de mujhe

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now