bakira
āsmāñ tapte hue lohe kī mānind safed
reg sūkhī huī pyāse kī zabāñ kī mānind
pyaas hulqūm meñ hai jism meñ hai jaan meñ hai
sar-ba-zānū huuñ jhulaste hue registāñ meñ
terī sarkār meñ le aa.ī huuñ ye vahsh zabīh!
mujh pe lāzim thī jo qurbānī vo maiñ ne kar dī
us kī ublī huī āñkhoñ meñ abhī tak hai chamak
aur siyah-bāl haiñ bhīge hue ḳhuuñ se ab tak
terā farmān ye thā us pe koī daaġh na ho
so ye be-aib achhūtā bhī thā an-dekhā bhī
be-karāñ reg meñ sab garm lahū jazb huā
dekh chādar pe mirī sabt hai us kā dhabbā
ai ḳhudā-vand-e-kabīr
ai jabbār!
mutakabbir o jalīl!
haañ tire naam paḌhe aur kiyā zab.h use
ab koī pāra-e-abr aa.e kahīñ saayā ho
ai ḳhudā-vand-e-azīm
bād-e-taskīñ! ke nafas aag banā jaatā hai!
qatra-e-āb ki jaañ lab pe chalī aa.ī hai
aasman tapte hue lohe ki manind safed
reg sukhi hui pyase ki zaban ki manind
pyas hulqum mein hai jism mein hai jaan mein hai
sar-ba-zanu hun jhulaste hue registan mein
teri sarkar mein le aai hun ye wahsh zabih!
mujh pe lazim thi jo qurbani wo main ne kar di
us ki ubli hui aankhon mein abhi tak hai chamak
aur siyah-baal hain bhige hue KHun se ab tak
tera farman ye tha us pe koi dagh na ho
so ye be-aib achhuta bhi tha an-dekha bhi
be-karan reg mein sab garm lahu jazb hua
dekh chadar pe meri sabt hai us ka dhabba
ai KHuda-wand-e-kabir
ai jabbar!
mutakabbir o jalil!
han tere nam paDhe aur kiya zabh use
ab koi para-e-abr aae kahin saya ho
ai KHuda-wand-e-azim
baad-e-taskin! ke nafas aag bana jata hai!
qatra-e-ab ki jaan lab pe chali aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.