banjh
chhatoñ muñDeroñ aur peḌoñ par
Dhaltī dhuup ke ujle kapḌe suukh rahe the
bādal surḳh sī jhālar vaale bāñke bādal
hañste chahakte phūloñ kā ik guldasta the
har shai kundan ruup meñ Dhal kar damak rahī thī
gāloñ par sone kī Dalag aur āñkhoñ meñ ik tez chamak thī
saarā manzar kaif ke ik lamhe meñ bebas
lazzat kī bāñhoñ meñ jakḌā humak rahā thā
aur phir do āñkhoñ ko miltī
kaale uljhe bāloñ ko mukh par bikhrā.e
chhoTe chhoTe qadam uThātī baḌhtī aa.ī
pahlī khiḌkī meñ jab us ne jhāñkā
khiḌkī kī dahlīz pe rakkhā ik nāzuk gul-dān chaTaḳh kar TuuT gayā
uljhe bāloñ pāgal āñkhoñ vaalī ne tab aage baḌh kar
dūsrī tīsrī aur phir galī kī har khiḌkī meñ jhāñk ke dekhā
gul-dānoñ ko Thokar maarī
ik ik phuul ko rauñd diyā
tab vo mujh ko dekh ke lapkī
merī jānib ġhaiz-bharī nazroñ kā relā aayā
phir jaise kuchh shoḳh ke ThiThkī
surḳh gulāb kā phuul mire hāthoñ meñ thamāyā
aur ḳhud chikne farsh pe gir kar TuuT ga.ī
chhaton munDeron aur peDon par
Dhalti dhup ke ujle kapDe sukh rahe the
baadal surKH si jhaalar wale banke baadal
hanste chahakte phulon ka ek guldasta the
har shai kundan rup mein Dhal kar damak rahi thi
galon par sone ki Dalag aur aankhon mein ek tez chamak thi
sara manzar kaif ke ek lamhe mein bebas
lazzat ki banhon mein jakDa humak raha tha
aur phir do aankhon ko milti
kale uljhe baalon ko mukh par bikhrae
chhoTe chhoTe qadam uThati baDhti aai
pahli khiDki mein jab us ne jhanka
khiDki ki dahliz pe rakkha ek nazuk gul-dan chaTaKH kar TuT gaya
uljhe baalon pagal aankhon wali ne tab aage baDh kar
dusri tisri aur phir gali ki har khiDki mein jhank ke dekha
gul-danon ko Thokar mari
ek ek phul ko raund diya
tab wo mujh ko dekh ke lapki
meri jaanib ghaiz-bhari nazron ka rela aaya
phir jaise kuchh shoKH ke ThiThki
surKH gulab ka phul mere hathon mein thamaya
aur KHud chikne farsh pe gir kar TuT gai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 309)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.