banjh si lagne lagi hai
vāpsī par
raat ke kaale siyah jhūle meñ leTe
us ne sochā thā
ki vo bhī
dūsroñ kī tarah
hañstī gungunātī zindagī se
uns kī dahlīz par jā kar milegā
pūchhegā us se
kiran sūraj kī kaise
chūmtī hai phuul ko
aur jagmagā detī hai miTTī dhuul ko
ThanDī havā kyā hai
ghaTā kyā hai
parinde chahchahāte kis adā se haiñ
magar kuchh bhī huā aisā nahīñ
vo aaj bhī
vīrān khiḌkī se uḌā kar
ḳhvāb kī sab raakh
jaltī dhuup ko sar par sameTe
andhe bahre gūñge
ehsāsāt se mamlū
safar par gāmzan
phir ho gayā hai
aur us kī soch
bilkul bāñjh sī lagne lagī hai
wapsi par
raat ke kale siyah jhule mein leTe
us ne socha tha
ki wo bhi
dusron ki tarah
hansti gungunati zindagi se
uns ki dahliz par ja kar milega
puchhega us se
kiran suraj ki kaise
chumti hai phul ko
aur jagmaga deti hai miTTi dhul ko
ThanDi hawa kya hai
ghaTa kya hai
parinde chahchahate kis ada se hain
magar kuchh bhi hua aisa nahin
wo aaj bhi
viran khiDki se uDa kar
KHwab ki sab rakh
jalti dhup ko sar par sameTe
andhe bahre gunge
ehsasat se mamlu
safar par gamzan
phir ho gaya hai
aur us ki soch
bilkul banjh si lagne lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.