Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bap

vo ek pul thā

mire aur ajdād ke zamānoñ nuqta-e-ittisāl

us guzargāhoñ se rivāyatoñ aur hikāyatoñ ke hazār-hā qāfile nikal kar

na.e zamāne yūrishoñ se mirī bikhartī anā meñ

ulfat yaqīn aur e'timād ke rang bhar ga.e haiñ

vo ek pul aaj TuuT kar gahrī ghāTiyoñ meñ girā hai

ab maiñ khaḌā huuñ

un gahrī ghāTiyoñ par

maiñ ek pul huuñ

vo ek bargad thā

jis chhāñv meñ ek ThanDī miThās thī

jis ne jalte sūraj hiddateñ apne jism meñ jazb kar ke

us sunahrī kirnoñ ko ThanDī shabnam tarah

merī ujaaḌ āñkhoñ meñ qatra qatra utārā

vo aaj hiddatoñ ke vafūr se jal gayā

to ab maiñ ek bargad huuñ

aane vāloñ ke vāste ek ThanDī chhāñv

vo ek javvāla thā

vo bharpūr ziist karne ek sīmābī aarzū

vo lahū dhaḌkan

jo raat zulmatoñ pe shab-ḳhūn maar kar

raushnī aur ummīd ke darīchoñ ko kholtā

aaj shab saffāk haath

us ke lahū dhaḌkan ko le uḌā

aur ab faqat maiñ huuñ

raat zulmatoñ se panja-fagan

wo ek pul tha

mere aur ajdad ke zamanon ka nuqta-e-ittisal

us ki guzargahon se riwayaton aur hikayaton ke hazar-ha qafile nikal kar

nae zamane ki yurishon se meri bikharti ana mein

ulfat yaqin aur e'timad ke rang bhar gae hain

wo ek pul aaj TuT kar gahri ghaTiyon mein gira hai

ab main khaDa hun

un gahri ghaTiyon par

main ek pul hun

wo ek bargad tha

jis ki chhanw mein ek ThanDi miThas thi

jis ne jalte suraj ki hiddaten apne jism mein jazb kar ke

us ki sunahri kirnon ko ThanDi shabnam ki tarah

meri ujaD aankhon mein qatra qatra utara

wo aaj hiddaton ke wafur se jal gaya

to ab main hi ek bargad hun

aane walon ke waste ek ThanDi chhanw

wo ek jawwala tha

wo bharpur zist karne ki ek simabi aarzu

wo lahu ki dhaDkan

jo raat ki zulmaton pe shab-KHun mar kar

raushni aur ummid ke darichon ko kholta

aaj shab ka saffak hath

us ke lahu ki dhaDkan ko le uDa

aur ab faqat main hun

raat ki zulmaton se panja-fagan

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now