bapu
bachcho tum ne baapū kī tasvīr to dekhī hogī
ek nazar meñ samjhoge tum un ko būḌhā jogī
haath meñ lāThī paañv meñ chappal tan par ek lañgoTī
is bhes meñ baapū ne sar kī azmat kī choTī
ham vatanoñ ko bhūkā nañgā kaise dekhā jaa.e
baapū kapḌe kyoñ pahne kaise bhar peT vo khaa.e
baapū ne rasta apnāyā saty ahinsā vaalā
āzādī kī ḳhātir apnā tan man dhan de Daalā
mahā pitā haiñ vo bhārat ke ruup jo unheñ suhātā
baapū un ko kahte haiñ ham sadā rahe nā naatā
bachcho tum ne bapu ki taswir to dekhi hogi
ek nazar mein samjhoge tum un ko buDha jogi
hath mein laThi panw mein chappal tan par ek langoTi
is bhes mein bapu ne sar ki azmat ki choTi
hum watanon ko bhuka nanga kaise dekha jae
bapu kapDe kyon pahne kaise bhar peT wo khae
bapu ne rasta apnaya saty ahinsa wala
aazadi ki KHatir apna tan man dhan de Dala
maha pita hain wo bhaarat ke rup jo unhen suhata
bapu un ko kahte hain hum sada rahe na nata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.