bapu
shohrat hai terī baapū har sū mire vatan meñ
terā hī tazkira hai duniyā kī anjuman meñ
tū phuul ban ke mahkā kuchh is tarah chaman meñ
ḳhushbū samā ga.ī hai afsurda jān-o-tan meñ
tū sadr-e-anjuman hai tū nāzish-e-vatan hai
tū rang-e-dilbarī hai tū nik.hat-e-chaman hai
tujh ko thī misl-e-īmāñ apne vatan se ulfat
aḳhlāq se miTā.ī tū ne binā-e-nafrat
maz.hab thā sirf terā ḳhalq-e-ḳhudā kī ḳhidmat
ai qaum ke masīhā ai faḳhr-e-ādamiyyat
terā karam hai kitnā bhārat kī sar-zamīñ par
azmat kī raushnī hai ab hind kī zamīñ par
jāh-o-hasham kā lālach dil meñ kabhī na aayā
jo dūsroñ se chāhā vo kar ke ḳhud dikhāyā
chhoTe baḌe kī tū ne tafrīq ko miTāyā
insāniyat kā paiham sab ko sabaq paḌhāyā
tere zabān-o-dil meñ thā ek rabt-e-sādiq
tū adl kā pujārī rūhāniyat kā āshiq
saare chaman meñ raqsāñ hai aaj husn-e-fitrat
kaliyoñ meñ hai mohabbat phūloñ meñ hai uḳhuvvat
tū ne vatan ko baḳhshī husn-e-yaqīñ kī daulat
tū ne banā diyā hai bhārat ko misl-e-jannat
ye inqalāb aayā tere hī fikr-o-fan se
āzād ham hue haiñ baapū tirī lagan se
shohrat hai teri bapu har su mere watan mein
tera hi tazkira hai duniya ki anjuman mein
tu phul ban ke mahka kuchh is tarah chaman mein
KHushbu sama gai hai afsurda jaan-o-tan mein
tu sadr-e-anjuman hai tu nazish-e-watan hai
tu rang-e-dilbari hai tu nikhat-e-chaman hai
tujh ko thi misl-e-iman apne watan se ulfat
aKHlaq se miTai tu ne bina-e-nafrat
mazhab tha sirf tera KHalq-e-KHuda ki KHidmat
ai qaum ke masiha ai faKHr-e-adamiyyat
tera karam hai kitna bhaarat ki sar-zamin par
azmat ki raushni hai ab hind ki zamin par
jah-o-hasham ka lalach dil mein kabhi na aaya
jo dusron se chaha wo kar ke KHud dikhaya
chhoTe baDe ki tu ne tafriq ko miTaya
insaniyat ka paiham sab ko sabaq paDhaya
tere zaban-o-dil mein tha ek rabt-e-sadiq
tu adl ka pujari ruhaniyat ka aashiq
sare chaman mein raqsan hai aaj husn-e-fitrat
kaliyon mein hai mohabbat phulon mein hai uKHuwwat
tu ne watan ko baKHshi husn-e-yaqin ki daulat
tu ne bana diya hai bhaarat ko misl-e-jannat
ye inqalab aaya tere hi fikr-o-fan se
aazad hum hue hain bapu teri lagan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.