baqist shab-e-fitna
añdhere meñ chalā hai kārvān-e-be-jaras koī
buland-o-past koī hai na us kā pesh-o-pas koī
faqat āvāz-e-pā-e-rahravāñ hai ham-safar apnī
sharīk-e-kārvāñ kitne haiñ kitne ham-safar haiñ kaun rahbar kaun rahzan hai
kahāñ par kaun hai kis kunj meñ kis kā baserā hai
ḳhudā jaane yahāñ to bas añdherā hī añdherā hai
kuchh āvāzeñ haiñ
āvāzoñ ke dekho jism bhī haiñ pairahan bhī haiñ
inhīñ meñ tum bhī ho maiñ bhī
maiñ kyā huuñ tum mirī āvāz kā chehra banā kar dekh lo
yahī maiñ kar rahā huuñ sab yahī karte haiñ
ye kaise batā.ūñ chal rahā huuñ kab se
merī ibtidā zulmat hai tum chāho to is ko intihā kah lo
ta.ayyun samt kā kaise ho kyā ta.adīd-e-sā.at ho
ab aise meñ batāo kaise tahdīd-e-masāfat ho
chalo chalte raho
koī āvāz kyuuñ aatī nahīñ
murdoñ pe shāyad chal rahe haiñ ham
yahāñ rukne se pahle soch lo
kuchh āhaTeñ pīchhe bhī haiñ apne
vo ham ko rauñd jā.eñgī
chalo chalte raho
koī Tāñkā kahīñ TuuTā hai sannāTe ke hoñToñ kā
ye koī chīḳh hai samjho kahīñ par mar gayā koī
kisī uftāda dil par paañv shāyad dhar gayā koī
chalo chalte raho
koī sūraj kisī kī āstīñ se phir hameñ āvāz detā hai
aur is āvāz se had-e-nazar tak raushnī sī hai
koī sūraj koī mash.al
koī jugnū koī taarā
koī āvāz koī chīḳh
kuchh bhī ho sabhī marte haiñ
lekin marte marte raushnī kī guuñj ban jaate haiñ
aao guuñj se jhaḌte sharāroñ ko sameTeñ
un ke resham se mulā.em tiir sīnoñ meñ chhupā leñ
zaḳhm kar leñ dil ko
aur phir zaḳhm se gul gul se naġhmoñ kī laveñ māñgeñ
phir un ko jab talak chalnā hai koī naam de leñ
ḳhvāb kah leñ yā haqīqat
ye safar hai aur añdherā mustaqil hai
apnī āvāzoñ ko apnā ham-safar kar leñ
chalo chalte raho
vo rah-rav saañs jis kī chhū rahī hai merī aahaT ko
nahīñ vo tum nahīñ ho
merī parchhā.īñ hai
tum bhī apnī parchhā.īñ koī taḳhlīq kar lo
kārvāñ tum bhī ho aur maiñ bhī
ham apnī apnī zulmat apnī apnī raushnī ḳhud haiñ
luTe jitnā koī us ke liye itnā añdherā hai!
andhere mein chala hai karwan-e-be-jaras koi
buland-o-past koi hai na us ka pesh-o-pas koi
faqat aawaz-e-pa-e-rahrawan hai ham-safar apni
sharik-e-karwan kitne hain kitne ham-safar hain kaun rahbar kaun rahzan hai
kahan par kaun hai kis kunj mein kis ka basera hai
KHuda jaane yahan to bas andhera hi andhera hai
kuchh aawazen hain
aawazon ke dekho jism bhi hain pairahan bhi hain
inhin mein tum bhi ho main bhi
main kya hun tum meri aawaz ka chehra bana kar dekh lo
yahi main kar raha hun sab yahi karte hain
ye kaise bataun chal raha hun kab se
meri ibtida zulmat hai tum chaho to is ko intiha kah lo
tayyun samt ka kaise ho kya tadid-e-saat ho
ab aise mein batao kaise tahdid-e-masafat ho
chalo chalte raho
koi aawaz kyun aati nahin
murdon pe shayad chal rahe hain hum
yahan rukne se pahle soch lo
kuchh aahaTen pichhe bhi hain apne
wo hum ko raund jaengi
chalo chalte raho
koi Tanka kahin TuTa hai sannaTe ke honTon ka
ye koi chiKH hai samjho kahin par mar gaya koi
kisi uftada dil par panw shayad dhar gaya koi
chalo chalte raho
koi suraj kisi ki aastin se phir hamein aawaz deta hai
aur is aawaz se had-e-nazar tak raushni si hai
koi suraj koi mashal
koi jugnu koi tara
koi aawaz koi chiKH
kuchh bhi ho sabhi marte hain
lekin marte marte raushni ki gunj ban jate hain
aao gunj se jhaDte shararon ko sameTen
un ke resham se mulaem tir sinon mein chhupa len
zaKHm kar len dil ko
aur phir zaKHm se gul gul se naghmon ki lawen mangen
phir un ko jab talak chalna hai koi nam de len
KHwab kah len ya haqiqat
ye safar hai aur andhera mustaqil hai
apni aawazon ko apna ham-safar kar len
chalo chalte raho
wo rah-raw sans jis ki chhu rahi hai meri aahaT ko
nahin wo tum nahin ho
meri parchhain hai
tum bhi apni parchhain koi taKHliq kar lo
karwan tum bhi ho aur main bhi
hum apni apni zulmat apni apni raushni KHud hain
luTe jitna koi us ke liye itna andhera hai!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 34)
- Author : aziiz qaisii
- Publication : national fine printing press (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.