bar bar kyon aati chiDiya
baar baar kyoñ aatī chiḌiyā
baar baar kyoñ aatī chiḌiyā
aa kar kyoñ uḌ jaatī chiḌiyā
haañ haañ dekho 'rūhī' aapā
tinke choñch meñ laatī chiḌiyā
mausam jab barsāt kā aatā
ghar apnā hai banātī chiḌiyā
ghoñsle meñ jab anDe detī
kahīñ na aatī jaatī chiḌiyā
anDe se jab bachche nikleñ
saarā dhyān lagātī chiḌiyā
bachche jūñ-hī chuuñ chuuñ karte
daana unheñ khilātī chiḌiyā
bachchoñ ko jab pyaas lage to
choñch meñ paanī laatī chiḌiyā
pañkh nikalne lagte haiñ jab
uḌnā unheñ sikhātī chiḌiyā
jūñ-hī bachche uḌne lagte
duur kahīñ uḌ jaatī chiḌiyā
is se kuchh to sīkho bachcho
sabaq koī de jaatī chiḌiyā
bar bar kyon aati chiDiya
bar bar kyon aati chiDiya
aa kar kyon uD jati chiDiya
han han dekho 'ruhi' aapa
tinke chonch mein lati chiDiya
mausam jab barsat ka aata
ghar apna hai banati chiDiya
ghonsle mein jab anDe deti
kahin na aati jati chiDiya
anDe se jab bachche niklen
sara dhyan lagati chiDiya
bachche jun-hi chun chun karte
dana unhen khilati chiDiya
bachchon ko jab pyas lage to
chonch mein pani lati chiDiya
pankh nikalne lagte hain jab
uDna unhen sikhati chiDiya
jun-hi bachche uDne lagte
dur kahin uD jati chiDiya
is se kuchh to sikho bachcho
sabaq koi de jati chiDiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.