barah mahine
january kā mahīna jo aa kar gayā
phir na.e saal kī ibtidā.ī kar gayā
february kar rahā hai judā sardiyāñ
ham utāreñge ab uun kī vardiyāñ
march hai saal kā tīsrā māh-e-nau
sab ko kartā hai talqīn ab ḳhush raho
maah april meñ imtihāñ ā.eñge
rāt-din paḌh ke ham paas ho jā.eñge
lo may aa gayā band maktab hue
garmiyoñ se pareshān ham sab hue
june bārish kī laa.e ḳhabar dosto
hai falak kī taraf har nazar dosto
hai july ke aane ke ab silsile
khul ga.e saare schōl maktab khule
saal meñ jab bhī māh-e-august aa chalā
apnī āzādiyoñ kā baḌhā qāfila
jab bhī māh-e-september janāb aa.egā
ketiyoñ par ġhazab kā shabāb aa.egā
laa.e ḳhush-hāliyāñ dekhnā october
khet khaliyān ko ho rahī hai nazar
kitnā pur-kaif mausam november meñ hai
motiyoñ jaisī shabnam november meñ hai
saal ruḳhsat huā lo december chalā
ho shurūa ab na.e saal kā silsila
january ka mahina jo aa kar gaya
phir nae sal ki ibtidai kar gaya
february kar raha hai juda sardiyan
hum utarenge ab un ki wardiyan
march hai sal ka tisra mah-e-nau
sab ko karta hai talqin ab KHush raho
mah april mein imtihan aaenge
raat-din paDh ke hum pas ho jaenge
lo may aa gaya band maktab hue
garmiyon se pareshan hum sab hue
june barish ki lae KHabar dosto
hai falak ki taraf har nazar dosto
hai july ke aane ke ab silsile
khul gae sare school maktab khule
sal mein jab bhi mah-e-august aa chala
apni aazadiyon ka baDha qafila
jab bhi mah-e-september janab aaega
ketiyon par ghazab ka shabab aaega
lae KHush-haaliyan dekhna october
khet khaliyan ko ho rahi hai nazar
kitna pur-kaif mausam nowember mein hai
motiyon jaisi shabnam nowember mein hai
sal ruKHsat hua lo december chala
ho shurua ab nae sal ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.