barahwan khilaDi
ḳhush-gavār mausam meñ
an-ginat tamāshā.ī
apnī apnī teamoñ ko
daad dene aate haiñ
apne apne pyāroñ kā
hausla baḌhāte haiñ
maiñ alag-thalag sab se
bārahveñ khilāḌī ko
hoot kartā rahtā huuñ
bārahvāñ khilāḌī bhī
kyā ajab khilāḌī hai
khel hotā rahtā hai
shor machtā rahtā hai
daad paḌtī rahtī hai
aur vo alag sab se
intizār kartā hai
ek aisī saa.at kā
ek aise lamhe kā
jis meñ sāneha ho jaa.e
phir vo khelne nikle
tāliyoñ ke jhurmuT meñ
ek jumla-e-ḳhush-kun
ek nāra-e-tahsīn
us ke naam par ho jaa.e
sab khilāḌiyoñ ke saath
vo bhī mo'atabar ho jaa.e
par ye kam hī hotā hai
phir bhī log kahte haiñ
khel se khilāḌī kā
umr-bhar kā rishta hai
umr-bhar kā ye rishta
chhūT bhī to saktā hai
āḳhirī whistle ke saath
Duub jaane vaalā dil
TuuT bhī to saktā hai
tum bhī iftiḳhār-ārif
bārahveñ khilāḌī ho
intizār karte ho
ek aise lamhe kā
ek aisī saa.at kā
jis meñ hādisa ho jaa.e
jis meñ sāneha ho jaa.e
tum bhī iftiḳhār-ārif
tum bhī Duub jāoge
tum bhī TuuT jāoge
KHush-gawar mausam mein
an-ginat tamashai
apni apni teamon ko
dad dene aate hain
apne apne pyaron ka
hausla baDhate hain
main alag-thalag sab se
barahwen khilaDi ko
hoot karta rahta hun
barahwan khilaDi bhi
kya ajab khilaDi hai
khel hota rahta hai
shor machta rahta hai
dad paDti rahti hai
aur wo alag sab se
intizar karta hai
ek aisi saat ka
ek aise lamhe ka
jis mein saneha ho jae
phir wo khelne nikle
taliyon ke jhurmuT mein
ek jumla-e-KHush-kun
ek nara-e-tahsin
us ke nam par ho jae
sab khilaDiyon ke sath
wo bhi mo'atabar ho jae
par ye kam hi hota hai
phir bhi log kahte hain
khel se khilaDi ka
umr-bhar ka rishta hai
umr-bhar ka ye rishta
chhuT bhi to sakta hai
aaKHiri whistle ke sath
Dub jaane wala dil
TuT bhi to sakta hai
tum bhi iftiKHar-arif
barahwen khilaDi ho
intizar karte ho
ek aise lamhe ka
ek aisi saat ka
jis mein hadisa ho jae
jis mein saneha ho jae
tum bhi iftiKHar-arif
tum bhi Dub jaoge
tum bhi TuT jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.