barish-e-sang
dasht-e-dil meñ aaj kaun
fīl-e-be-zanjīr kī mānind phir
sar uThā.e be-dhaḌak
aa rahe haiñ tez tez
apnī sūñDoñ meñ liye zahrāb-e-makr-o-dushmanī
taaki Dhā.eñ ka.aba-e-dil
zā.iqa mujh ko chakhā.eñ maut kā
hai tamanna aaj zaḳhmī
aarzū ke lab pe hai mohr-e-sukūt
ai abābīlo kahāñ ho aaj tum
aao aa kar
sang-rezo kī karo bārish ki phir
sūrat-e-ḳhāshāk-o-ḳhas
pāra-pāra jis se ho jaa.eñ ye fiil
dasht-e-dil mein aaj kaun
fil-e-be-zanjir ki manind phir
sar uThae be-dhaDak
aa rahe hain tez tez
apni sunDon mein liye zahrab-e-makr-o-dushmani
taki Dhaen kaba-e-dil
zaiqa mujh ko chakhaen maut ka
hai tamanna aaj zaKHmi
aarzu ke lab pe hai mohr-e-sukut
ai ababilo kahan ho aaj tum
aao aa kar
sang-rezo ki karo barish ki phir
surat-e-KHashak-o-KHas
para-para jis se ho jaen ye fil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.