barish hoti hai to pani ko bhi lag jate hain panw
bārish hotī hai to paanī ko bhī lag jaate haiñ paañv
dar-o-dīvār se Takrā ke guzartā hai galī se
aur uchhaltā hai chhapākoñ meñ
kisī match meñ jiite hue laḌkoñ kī tarah
jiit kar aate haiñ jab match galī ke laḌke
juute pahne hue canvas ke uchhalte hue geñdoñ kī tarah
dar-o-dīvār se Takrā ke guzarte haiñ
vo paanī ke chhapākoñ kī tarah
barish hoti hai to pani ko bhi lag jate hain panw
dar-o-diwar se Takra ke guzarta hai gali se
aur uchhalta hai chhapakon mein
kisi match mein jite hue laDkon ki tarah
jit kar aate hain jab match gali ke laDke
jute pahne hue canwas ke uchhalte hue gendon ki tarah
dar-o-diwar se Takra ke guzarte hain
wo pani ke chhapakon ki tarah
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 6)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.