barish ka ek git
jīvan maayā hariyālī meñ
tum jot jagātī aa.ī ho
tum chāñd chakorī chāñd bano
tum phūlan phuul phulār bano
tum darpan chhāyā gyaan bano
tum raat jagātī pyaar bano
tum ruup chaman sansār bano
jab bārish motī luTte haiñ
jab miTTī soñdhī khultī hai
tab hīreñ svāñg rachātī haiñ
tab rāñjhe Dhol bajāte haiñ
tab āshiq giit sajāte haiñ
jab muTiyāreñ badan churātī haiñ
jab nainan nayan milātī haiñ
khetoñ aur galiyāroñ meñ
priit kī lapTeñ uThtī haiñ
tan jalte haiñ man jalte haiñ
gītoñ kī tarañgeñ uThtī haiñ
sur-tāl surāhī chaltī hai
āñkhoñ kī madirā Dhaltī hai
tum aas adhūrī toḌ na denā
biich añdhiyāre chhoḌ na denā
jiwan maya hariyali mein
tum jot jagati aai ho
tum chand chakori chand bano
tum phulan phul phular bano
tum darpan chhaya gyan bano
tum raat jagati pyar bano
tum rup chaman sansar bano
jab barish moti luTte hain
jab miTTi sondhi khulti hai
tab hiren swang rachati hain
tab ranjhe Dhol bajate hain
tab aashiq git sajate hain
jab muTiyaren badan churaati hain
jab nainan nayan milati hain
kheton aur galiyaron mein
prit ki lapTen uThti hain
tan jalte hain man jalte hain
giton ki tarangen uThti hain
sur-tal surahi chalti hai
aankhon ki madira Dhalti hai
tum aas adhuri toD na dena
bich andhiyare chhoD na dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.