barish ki nazm
ye manhūs bārish
javāñ-sāl gehūñ ke dānoñ ko
kīchaḌ kā hissa banāne
mire gaañv meñ har baras kī tarah
aaj phir aa ga.ī hai
vo gehūñ ke ḳhoshe jo khaliyān meñ
dhuup ke devtā kī ibādat meñ
masrūf the
un ko bārish ne āġhosh meñ le liyā hai
har ik khet meñ kitnā paanī bharā hai
bhuuk apnī miTā kar
ye bārish chalī jā.egī
aur sab khet ḳhālī ke ḳhālī raheñge
maiñ ne bārish ke chehre pe likkhā har ik vāqi.a
paḌh liyā hai
ye manhus barish
jawan-sal gehun ke danon ko
kichaD ka hissa banane
mere ganw mein har baras ki tarah
aaj phir aa gai hai
wo gehun ke KHoshe jo khaliyan mein
dhup ke dewta ki ibaadat mein
masruf the
un ko barish ne aaghosh mein le liya hai
har ek khet mein kitna pani bhara hai
bhuk apni miTa kar
ye barish chali jaegi
aur sab khet KHali ke KHali rahenge
main ne barish ke chehre pe likkha har ek waqia
paDh liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.