Tim Tim karte taare haiñ
kitne pyāre pyāre haiñ
jhāñk rahe haiñ bādal se
āsmān ke āñchal se
rote bachche chup ho jaa.eñ
toḌeñ lekin toḌ na paa.eñ
bachcha
maañ kī god se uchhaleñ vo
humkeñ kūdeñ machleñ vo
ammī mujh ko lā do nā
ujlā chāñd mañgā do nā
maiñ ab us ko pakḌūñgā
hāthoñ meñ yuuñ jakaḌūñgā
cham-cham chāñd chamaktā hai
motī jaisā damaktā hai
bādal kī qindīl meñ gum
niilī niilī jhiil meñ gum
kājal jaisī raat liye
tāroñ kī sauġhāt liye
āsmān par aatā hai
bachchoñ ko lalchātā hai
saverā
taare bhāge chāñd gayā
sarhad jaise phāñd gayā
manzil manzil nuur huā
añdhiyārā kāfūr huā
sub.h huī raushan raushan
phailā chāñdī dar darpan
Tim Tim karte tare hain
kitne pyare pyare hain
jhank rahe hain baadal se
aasman ke aanchal se
rote bachche chup ho jaen
toDen lekin toD na paen
bachcha
man ki god se uchhalen wo
humken kuden machlen wo
ammi mujh ko la do na
ujla chand manga do na
main ab us ko pakDunga
hathon mein yun jakaDunga
cham-cham chand chamakta hai
moti jaisa damakta hai
baadal ki qindil mein gum
nili nili jhil mein gum
kajal jaisi raat liye
taron ki saughat liye
aasman par aata hai
bachchon ko lalchata hai
sawera
tare bhage chand gaya
sarhad jaise phand gaya
manzil manzil nur hua
andhiyara kafur hua
subh hui raushan raushan
phaila chandi dar darpan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.