baat ka dusra ruKH
raushnī raushnī
raushnī har taraf
raushnī se kaho
chhoḌ jaa.e mujhe
vaqt kā kārvāñ jā rahā hai magar
abhī saath le kar na jaa.e mujhe
mirī aarzū hai ki tū bhī kabhī
dil kī jānib vo rasta sujhā.e mujhe
mirī raushnī ko mire nuur ko
merī āñkhoñ se le kar dikhā.e mujhe
zulmat-o-maut kī vādiyoñ meñ kabhī
añdheroñ kī ḳhātir luTā.e mujhe
raat kā dūsrā ruḳh jo dekhā nahīñ
chāñd kī dūsrī samt bhī hai tirī
kabhī us se bhī to milā.e mujhe
zindagī zindagī
zindagī har taraf
zindagī se kaho
chhoḌ jaa.e mujhe
raushni raushni
raushni har taraf
raushni se kaho
chhoD jae mujhe
waqt ka karwan ja raha hai magar
abhi sath le kar na jae mujhe
meri aarzu hai ki tu bhi kabhi
dil ki jaanib wo rasta sujhae mujhe
meri raushni ko mere nur ko
meri aankhon se le kar dikhae mujhe
zulmat-o-maut ki wadiyon mein kabhi
andheron ki KHatir luTae mujhe
raat ka dusra ruKH jo dekha nahin
chand ki dusri samt bhi hai teri
kabhi us se bhi to milae mujhe
zindagi zindagi
zindagi har taraf
zindagi se kaho
chhoD jae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.