baatin
daur-e-hāzir ke tum
ek sharminda insān ho
maiñ jo chīḳhā to merī anā TuuT kar
jañgaloñ kī tapish ban ga.ī
dāstāñ kī ḳhalish ban ga.ī
qahqahe be-sadā qahqahe
makḌiyoñ kī fazā meñ uḌāte rahe
tez mazbūt qaumoñ ke nārāz qisse sunāte rahe
maiñ pareshān
nīndoñ ke bādal haTā kar
bujhī raat ke saada parde uThā kar
jo ḳheme se niklā to āvāz aa.ī
abhī tum ne duniyā bhī dekhī nahīñ hai
daur-e-hazir ke tum
ek sharminda insan ho
main jo chiKHa to meri ana TuT kar
jangalon ki tapish ban gai
dastan ki KHalish ban gai
qahqahe be-sada qahqahe
makDiyon ki faza mein uDate rahe
tez mazbut qaumon ke naraaz qisse sunate rahe
main pareshan
nindon ke baadal haTa kar
bujhi raat ke sada parde uTha kar
jo KHeme se nikla to aawaz aai
abhi tum ne duniya bhi dekhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.