baatuni miyan
rahte haiñ qasbe meñ mere ek bātūnī miyāñ
rokne se bhī nahīñ ruktī kabhī un kī zabāñ
dhun yahī har dam hai un kī qaum kā leader banūñ
qaum pīchhe ho mire maiñ qaum ke aage rahūñ
farq kuchh tazkīr aur tānīs meñ karte nahīñ
guftugū meñ phir bhī vo laate haiñ alfāz-e-hasīñ
ek din bole ki maiñ jaatā huuñ paḌhne ke liye
ghūmtī hai ye zamīñ is ko samajhne ke liye
murġhiyāñ dete haiñ anDe murġh kyoñ detī nahīñ
is se baḌh kar zulm duniyā meñ nahīñ koī nahīñ
sun ke bāteñ un kī mujh ko aa ga.ī fauran hañsī
ye kahā maiñ ne mubārak aap ko ho leaderī
maiñ hañsā merī hañsī par un ko taish aa hī gayā
mere sar ko ek hī patthar meñ zaḳhmī kar diyā
haiñ haqīqat meñ mire qasbe ke vo rūh-e-ravāñ
dekh kar bachche unheñ kahte haiñ ai buddhū miyāñ
rahte hain qasbe mein mere ek baatuni miyan
rokne se bhi nahin rukti kabhi un ki zaban
dhun yahi har dam hai un ki qaum ka leader banun
qaum pichhe ho mere main qaum ke aage rahun
farq kuchh tazkir aur tanis mein karte nahin
guftugu mein phir bhi wo late hain alfaz-e-hasin
ek din bole ki main jata hun paDhne ke liye
ghumti hai ye zamin is ko samajhne ke liye
murghiyan dete hain anDe murgh kyon deti nahin
is se baDh kar zulm duniya mein nahin koi nahin
sun ke baaten un ki mujh ko aa gai fauran hansi
ye kaha main ne mubarak aap ko ho leaderi
main hansa meri hansi par un ko taish aa hi gaya
mere sar ko ek hi patthar mein zaKHmi kar diya
hain haqiqat mein mere qasbe ke wo ruh-e-rawan
dekh kar bachche unhen kahte hain ai buddhu miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.