maiñ terī bastī se bhaag kar duur ik ḳharābe meñ aa gayā huuñ
ye vo ḳharāba hai jis meñ hastī kī raushnī kā guzar nahīñ hai
yahāñ na tū hai na rañg-o-bū hai na zindagī hai
yahāñ hai vo ālam-e-ḳhamoshī ki dil kī dhaḌkan bhī be-sadā hai
ki merī tanhā.iyoñ ke dāman-e-ufuq ke dāman se jā mile haiñ
tire nagar ke hasīn kūche shafīq galiyāñ jo ziist kī raushnī kā ghar haiñ
mire liye merī bebasī ne inheñ shab-ālūd kar diyā hai
vo rahguzar tere naqsh-e-pā par jahāñ hazār āstāñ bane haiñ
vo rahguzar ajnabī hue haiñ
jahāñ maiñ ab huuñ vahāñ agarche hai be-karāñ tīrgī fazā meñ
magar yahāñ bhī mire ḳhayāloñ meñ mahr ban kar tirā sarāpā damak rahā hai
havā ke be-kaif sard jhoñke jo zard pattoñ se khelte haiñ
to merī be-āb ḳhushk āñkheñ tujhe ḳhalāoñ meñ DhūñDhtī haiñ
mirā taḳhayyul ki is ḳharābe se bad-gumāñ hai
mire junūñ ko jhiñjhoḌtā hai to sochtā huuñ
agarche tū ek vo haqīqat hai jis kā iqrār lā-budī hai
magar ye terā vajūd mere liye faqat ek vāhima hai
ki terī zulfoñ ko mere shānoñ ne apnī duniyā se duur paayā
ki mere ashkoñ ko tere dāman kī aarzū hī rahī hamesha
magar ye ḳhush thā
ki mere ġham ne tire taḳhayyul meñ vo sitāre se bhar diye the
charāġh jin ke na bujh sake haiñ na bujh sakeñge
ye sab thā lekin junūñ pe kuchh aisī qadġhaneñ thiiñ
ki jazb-e-dil harf-e-mudda.ā ko na pā sakā thā
kabhī koī dard lafz bin kar marī zabāñ par na aa sakā thā
magar na jaane vo kyā thā jis ne diloñ ke parde uThā diye the
junūñ ke asrār vāqiye the
tahī-zabāñ ham hue the lekin zabāñ ke muhtāj kab rahe the
ki ham nigāhoñ se dil ke paiġhām bhejte the
ye sab thā lekin maiñ karb-e-jāñ-soz kā amiiñ thā
vo karb-e-jāñ-soz thā ki merī hayāt se niiñd bad-gumāñ thī
aur is ḳharābe meñ jis meñ hastī kī raushnī kā guzar nahīñ hai
jahāñ na tū hai na rañg-o-bū hai na zindagī hai
mirā gumāñ thā yahāñ tujhe ḳhud se duur pā kar maiñ karb se jaañ bachā sakūñgā
tujhe kabhī to dimāġh-o-dil se haTā sakūñgā
tujhe kabhī to bhulā sakūñgā
magar ye ik aur vāhima thā
qayāmateñ soz-e-dard-e-dil meñ nihāñ vahī haiñ
abas ġham-e-zindagī se maiñ ne farār chāhā
isī tarah karab-e-jāñ-guzā se maiñ ab bhī ātish-e-ba-jā huuñ har-dam
ki ab tirā shahr chhoḌne kā ik aur ġham hai
agarche terā vajūd mere liye faqat ek vāhima thā
agarche terā vajūd mere liye faqat ek vāhima hai
magar tirā paikar-e-misālī mire ḳhayāloñ meñ jāguzīñ hai
ki vo kisī dil-kushā haqīqat kā bhī amiiñ hai
aur us se mujh ko mafar nahīñ hai
maiñ sochtā huuñ ki us ḳharābe se lauT jā.ūñ
jahāñ na tū hai na rañg-o-bū hai na zindagī hai
jahāñ mujhe aaj ye bhī ġham hai
ki maiñ ne shahr-e-habīb chhoḌā
vafā se maiñ ne vafā nahīñ kī
maiñ sochtā huuñ ki us ḳharābe se lauT jā.ūñ
vahīñ jahāñ maiñ ne zindagī kā sukūn DhūñDā
magar na paayā
vahīñ jahāñ maiñ ne raushnī ke sarāb dekhe
haqīqatoñ par naqāb dekhe
vahīñ jahāñ maiñ ne rāhatoñ ke habāb dekhe
vahīñ milegā sukūñ agar mujh ko zindagī meñ kahīñ milegā
magar ye ik ḳhauf merā dāman isī ḳharābe se bāñdhtā hai
ki is jagah phir agar junūñ ne sukūñ na paayā to kyā karūñgā
main teri basti se bhag kar dur ek KHarabe mein aa gaya hun
ye wo KHaraba hai jis mein hasti ki raushni ka guzar nahin hai
yahan na tu hai na rang-o-bu hai na zindagi hai
yahan hai wo aalam-e-KHamoshi ki dil ki dhaDkan bhi be-sada hai
ki meri tanhaiyon ke daman-e-ufuq ke daman se ja mile hain
tere nagar ke hasin kuche shafiq galiyan jo zist ki raushni ka ghar hain
mere liye meri bebasi ne inhen shab-alud kar diya hai
wo rahguzar tere naqsh-e-pa par jahan hazar aastan bane hain
wo rahguzar ajnabi hue hain
jahan main ab hun wahan agarche hai be-karan tirgi faza mein
magar yahan bhi mere KHayalon mein mahr ban kar tera sarapa damak raha hai
hawa ke be-kaif sard jhonke jo zard patton se khelte hain
to meri be-ab KHushk aankhen tujhe KHalaon mein DhunDhti hain
mera taKHayyul ki is KHarabe se bad-guman hai
mere junun ko jhinjhoDta hai to sochta hun
agarche tu ek wo haqiqat hai jis ka iqrar la-budi hai
magar ye tera wajud mere liye faqat ek wahima hai
ki teri zulfon ko mere shanon ne apni duniya se dur paya
ki mere ashkon ko tere daman ki aarzu hi rahi hamesha
magar ye KHush tha
ki mere gham ne tere taKHayyul mein wo sitare se bhar diye the
charagh jin ke na bujh sake hain na bujh sakenge
ye sab tha lekin junun pe kuchh aisi qadghanen thin
ki jazb-e-dil harf-e-muddaa ko na pa saka tha
kabhi koi dard lafz bin kar mari zaban par na aa saka tha
magar na jaane wo kya tha jis ne dilon ke parde uTha diye the
junun ke asrar waqiye the
tahi-zaban hum hue the lekin zaban ke muhtaj kab rahe the
ki hum nigahon se dil ke paigham bhejte the
ye sab tha lekin main karb-e-jaan-soz ka amin tha
wo karb-e-jaan-soz tha ki meri hayat se nind bad-guman thi
aur is KHarabe mein jis mein hasti ki raushni ka guzar nahin hai
jahan na tu hai na rang-o-bu hai na zindagi hai
mera guman tha yahan tujhe KHud se dur pa kar main karb se jaan bacha sakunga
tujhe kabhi to dimagh-o-dil se haTa sakunga
tujhe kabhi to bhula sakunga
magar ye ek aur wahima tha
qayamaten soz-e-dard-e-dil mein nihan wahi hain
abas gham-e-zindagi se main ne farar chaha
isi tarah karab-e-jaan-guza se main ab bhi aatish-e-ba-ja hun har-dam
ki ab tera shahr chhoDne ka ek aur gham hai
agarche tera wajud mere liye faqat ek wahima tha
agarche tera wajud mere liye faqat ek wahima hai
magar tera paikar-e-misali mere KHayalon mein jaguzin hai
ki wo kisi dil-kusha haqiqat ka bhi amin hai
aur us se mujh ko mafar nahin hai
main sochta hun ki us KHarabe se lauT jaun
jahan na tu hai na rang-o-bu hai na zindagi hai
jahan mujhe aaj ye bhi gham hai
ki main ne shahr-e-habib chhoDa
wafa se main ne wafa nahin ki
main sochta hun ki us KHarabe se lauT jaun
wahin jahan main ne zindagi ka sukun DhunDa
magar na paya
wahin jahan main ne raushni ke sarab dekhe
haqiqaton par naqab dekhe
wahin jahan main ne rahaton ke habab dekhe
wahin milega sukun agar mujh ko zindagi mein kahin milega
magar ye ek KHauf mera daman isi KHarabe se bandhta hai
ki is jagah phir agar junun ne sukun na paya to kya karunga
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 359)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.