bazar
ek majbūr kā tan biktā hai man biktā hai
in dukānoñ meñ sharāfat kā chalan biktā hai
saudā hotā hai añdheroñ meñ gunāhoñ kā yahāñ
zindagī naam hai hañstī huī aahoñ kā yahāñ
zinda lāshoñ ke liye surḳh kafan biktā hai
jhūTī ulfat ke ishāroñ pe vafā raqs kare
chand sikkoñ ke chhanāke pe hayā raqs kare
husn-e-ma.asūm kā be-sāḳhta-pan biktā hai
bech kar apnā lahū aag kamā.ī jaa.e
aabrū qaum kī sījoñ pe luTā.ī jaa.e
sar-e-bāzār-e-havas pyaar kā fan biktā hai
ek majbur ka tan bikta hai man bikta hai
in dukanon mein sharafat ka chalan bikta hai
sauda hota hai andheron mein gunahon ka yahan
zindagi nam hai hansti hui aahon ka yahan
zinda lashon ke liye surKH kafan bikta hai
jhuTi ulfat ke ishaaron pe wafa raqs kare
chand sikkon ke chhanake pe haya raqs kare
husn-e-masum ka be-saKHta-pan bikta hai
bech kar apna lahu aag kamai jae
aabru qaum ki sijon pe luTai jae
sar-e-bazar-e-hawas pyar ka fan bikta hai
- Book : Kalam-e- muzaffar warsi (Pg. 194)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.