bazyaft
maiñ
kab kā mar chukā
sadiyoñ sadiyoñ
ḳhud apnī barsī
manātā rahā
aaj lekin
itnī sadiyāñ guzar jaane ke baad
do qatre āñsūoñ ke
merī turbat par
gir kar tahlīl ho ga.e
achānak
mere a.azā meñ
harakat sī hone lagī
rag rag meñ
lahū sā thirakne lagā
basārat samā.at ke dar
vā hue
mañDlāte hue
ai tārīk bādalo
maiñ
zinda huuñ
aur
aaj baḌe shauq se
tumhāre hamrāh
ḳhvāb raushnī kā
sajā.e phirtā huuñ
main
kab ka mar chuka
sadiyon sadiyon
KHud apni barsi
manata raha
aaj lekin
itni sadiyan guzar jaane ke baad
do qatre aansuon ke
meri turbat par
gir kar tahlil ho gae
achanak
mere aaza mein
harakat si hone lagi
rag rag mein
lahu sa thirakne laga
basarat samaat ke dar
wa hue
manDlate hue
ai tarik baadalo
main
zinda hun
aur
aaj baDe shauq se
tumhaare hamrah
KHwab raushni ka
sajae phirta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.