bablu
kis kī pakaḌ meñ aa.eñ chaltī havā haiñ bablū
āñdhī kī tarah dekho ye jā vo jā haiñ bablū
ik pal jo dekhiye to dīvār par chaḌhe haiñ
jhapkī palak to dekho dauḌeñ lagā rahe haiñ
rippo ko maarī Takkar sīḌhī pe chaḌhte chaḌhte
mammy ke haath meñ thā jo gir gayā vo taḌ se
paapā ne cycle to bilkul na.ī dilā.ī
ab kyā hai is kā huliya kaise huā ye bhaa.ī
haindle hai ab na pedal nā seat Thiik se hai
ye to batāo koī is ko chalā.e kaise
aur ab bigaḌ rahe haiñ kyā cycle dilā.ī
ik do mahīne bhī to kambaḳht chal na paa.ī
dīvār kī ghaḌī kā TuuTā paḌā hai ghanTa
is par bhī dast-e-shafqat shāyad unhoñ ne pherā
bigḌā thā fan kuchh kuchh saarā bigāḌ Daalā
pūchhā to bole maiñ to is ko banā rahā thā
kuchh boliye to kaise mazlūm se khaḌe haiñ
āñkheñ haiñ DabDabā.ī lab kapkapā rahe haiñ
aise ko kahiye koī DāñTe to kaise DāñTe
sāmān ghar kā kyā hai in par to jaan sadqe
kis ki pakaD mein aaen chalti hawa hain bablu
aandhi ki tarah dekho ye ja wo ja hain bablu
ek pal jo dekhiye to diwar par chaDhe hain
jhapki palak to dekho dauDen laga rahe hain
rippo ko mari Takkar siDhi pe chaDhte chaDhte
mammy ke hath mein tha jo gir gaya wo taD se
papa ne cycle to bilkul nai dilai
ab kya hai is ka huliya kaise hua ye bhai
haindle hai ab na pedal na seat Thik se hai
ye to batao koi is ko chalae kaise
aur ab bigaD rahe hain kya cycle dilai
ek do mahine bhi to kambaKHt chal na pai
diwar ki ghaDi ka TuTa paDa hai ghanTa
is par bhi dast-e-shafqat shayad unhon ne phera
bigDa tha fan kuchh kuchh sara bigaD Dala
puchha to bole main to is ko bana raha tha
kuchh boliye to kaise mazlum se khaDe hain
aankhen hain DabDabai lab kapkapa rahe hain
aise ko kahiye koi DanTe to kaise DanTe
saman ghar ka kya hai in par to jaan sadqe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.