babul ke daraKHt se kaho
babūl ke daraḳht se kaho
abhī mashām-e-jāñ meñ har siñghār kī shaguftagī
baḌe hī inhimāk se bahār-pāsh hai yahāñ
jo muḌ ke dekhtā huuñ adh-jale gulāb kā badan
shahādatoñ ke ramz par siñghār bhī luTā gayā
jo muḌ ke dekhtā huuñ fāḳhta kā ahmarīñ lahū
jabīn-e-jaur kī sabhī ra.ūnateñ miTā gayā
mire ḳhilāf sāzishoñ kā ye muhīb silsila
mirī anā ke bāñkpan meñ daf.atan samā gayā
chīnār ke daraḳht se hai nāriyal ke peḌ tak
ravāñ davāñ hamārī ḳhushbuoñ kā shoḳh silsila
kabūtaroñ ke ġhol kī phaban hiran kī chaukḌī
havā ke dosh-e-maġhzār ko dulhan banā ga.ī
abhī mirī zamīn kī fazā.eñ sub.h-e-fām haiñ
dhueñ ke naag se kaho
baḌī hī saḳht-jān haiñ hamārī vādiyoñ meñ rañg-o-nūr kī latāfateñ
samundaroñ kī sīpiyoñ se pokharoñ kī ghoghiyoñ ne
bai.atoñ ke vāste sipurd kab kiyā hai ġhairatoñ ke lāla-zār ko
abhī hisār-e-sañg meñ kañval ke phuul haiñ khile
zabān-e-reg-e-surḳh se kaho
hamāre paañv jal ga.e to kyā huā
bahār-e-sabz ke liye zamīñ to aaj mil ga.ī
babul ke daraKHt se kaho
abhi masham-e-jaan mein har singhaar ki shaguftagi
baDe hi inhimak se bahaar-pash hai yahan
jo muD ke dekhta hun adh-jale gulab ka badan
shahadaton ke ramz par singhaar bhi luTa gaya
jo muD ke dekhta hun faKHta ka ahmarin lahu
jabin-e-jaur ki sabhi raunaten miTa gaya
mere KHilaf sazishon ka ye muhib silsila
meri ana ke bankpan mein dafatan sama gaya
chinar ke daraKHt se hai nariyal ke peD tak
rawan dawan hamari KHushbuon ka shoKH silsila
kabutaron ke ghol ki phaban hiran ki chaukDi
hawa ke dosh-e-maghzar ko dulhan bana gai
abhi meri zamin ki fazaen subh-e-fam hain
dhuen ke nag se kaho
baDi hi saKHt-jaan hain hamari wadiyon mein rang-o-nur ki latafaten
samundaron ki sipiyon se pokharon ki ghoghiyon ne
baiaton ke waste sipurd kab kiya hai ghairaton ke lala-zar ko
abhi hisar-e-sang mein kanwal ke phul hain khile
zaban-e-reg-e-surKH se kaho
hamare panw jal gae to kya hua
bahaar-e-sabz ke liye zamin to aaj mil gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.