bachat
inhī do se ābād har ik kā ghar hai
kamānā hai fan aur bachānā hunar hai
ye baat aaj hī sochnā hai zarūrī
kise hai ḳhabar aane vaale dinoñ kī
bure vaqt meñ kaam ā.eñge aksar
rakhoge agar chaar paise bachā kar
bachat hī se mil-jul ke bantī hai daulat
bachat hī se baḌhtī hai mulkoñ kī tāqat
ye fasleñ ye bāzār ye kār-ḳhāne
bachat ne sañvāre haiñ bigḌe zamāne
zarā jā ke ghar dekh lo chiyūñTiyoñ kā
vo dānoñ kā kartī haiñ kaise zaḳhīra
yūñhī qatra qatra samundar banegā
yūñhī lamha lamha muqaddar banegā
bachat kī jo bachpan se Dāloge aadat
baḌe ho ke pāoge duniyā meñ rāhat
inhi do se aabaad har ek ka ghar hai
kamana hai fan aur bachana hunar hai
ye baat aaj hi sochna hai zaruri
kise hai KHabar aane wale dinon ki
bure waqt mein kaam aaenge aksar
rakhoge agar chaar paise bacha kar
bachat hi se mil-jul ke banti hai daulat
bachat hi se baDhti hai mulkon ki taqat
ye faslen ye bazar ye kar-KHane
bachat ne sanware hain bigDe zamane
zara ja ke ghar dekh lo chiyunTiyon ka
wo danon ka karti hain kaise zaKHira
yunhi qatra qatra samundar banega
yunhi lamha lamha muqaddar banega
bachat ki jo bachpan se Daloge aadat
baDe ho ke paoge duniya mein rahat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.