bachcha aur murgha
ik bachche ne murġhe se kahā
pyāre murġhe ye shor hai kyā
sun sun terī kukḌūñ-kūñ
maiñ saḳht pareshāñ hotā huuñ
jab taare chhupte hote haiñ
sab chain ārām se sote haiñ
us vaqt se tū chillātā hai
kyuuñ itnā shor machātā hai
ma.alūm ho āḳhir baat hai kyā
kuchh apne dil kā haal batā
jā duur machā ye shor kahīñ
paḌhne meñ dil lagtā hī nahīñ
murġhe ne sunā bachche kā bayāñ
bolā na ho nārāz miyāñ
tum sab niiñd ke maate ho
so so vaqt gañvāte ho
ye maiñ jo shor machātā huuñ
mālik ko pukāre jaatā huuñ
ye merī ibādat hai pyāre
allāh kī taa.at hai pyāre
maiñ qahr se us ke Dartā huuñ
har vaqt ibādat kartā huuñ
jab sub.h ko baañg maiñ detā huuñ
aur naam ḳhudā kā letā huuñ
tum kitne ġhāfil hote ho
maiñ jāgtā huuñ tum sote ho
ek bachche ne murghe se kaha
pyare murghe ye shor hai kya
sun sun teri kukDun-kun
main saKHt pareshan hota hun
jab tare chhupte hote hain
sab chain aaram se sote hain
us waqt se tu chillata hai
kyun itna shor machata hai
malum ho aaKHir baat hai kya
kuchh apne dil ka haal bata
ja dur macha ye shor kahin
paDhne mein dil lagta hi nahin
murghe ne suna bachche ka bayan
bola na ho naraaz miyan
tum sab nind ke mate ho
so so waqt ganwate ho
ye main jo shor machata hun
malik ko pukare jata hun
ye meri ibaadat hai pyare
allah ki taat hai pyare
main qahr se us ke Darta hun
har waqt ibaadat karta hun
jab subh ko bang main deta hun
aur nam KHuda ka leta hun
tum kitne ghafil hote ho
main jagta hun tum sote ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.